
Ek Wada Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi
Saghar Siddiqui
ایک وعدہ ہے کسی کا جو وفا ہوتا نہیں
ورنہ ان تاروں بھری راتوں میں کیا ہوتا نہیں
جی میں آتا ہے الٹ دیں ان کے چہرے سے نقاب
حوصلہ کرتے ہیں لیکن حوصلہ ہوتا نہیں
شمع جس کی آبرو پر جان دے دے جھوم کر
وہ پتنگا جل تو جاتا ہے فنا ہوتا نہیں
اب تو مدت سے رہ و رسم نظارہ بند ہے
اب تو ان کا طور پر بھی سامنا ہوتا نہیں
ہر شناور کو نہیں ملتا تلاطم سے خراج
ہر سفینے کا محافظ ناخدا ہوتا نہیں
ہر بھکاری پا نہیں سکتا مقام خواجگی
ہر کس و ناکس کو تیرا غم عطا ہوتا نہیں
ہائے یہ بیگانگی اپنی نہیں مجھ کو خبر
ہائے یہ عالم کہ تو دل سے جدا ہوتا نہیں
بارہا دیکھا ہے ساغرؔ رہ گزار عشق میں
کارواں کے ساتھ اکثر رہنما ہوتا نہیں
Ek Wada Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahin
Warna In Taron Bhari Raaton Mein Kya Hota Nahin
Ji Mein Aata Hai Ulat Den Un Ke Chehre Se Naqab
Hausla Karte Hain Lekin Hausla Hota Nahin
Shama Jis Ki Aabru Par Jaan De De Jhoom Kar
Wo Patinga Jal To Jata Hai Fana Hota Nahin
Ab To Muddat Se Rah-O-Rasm-E-Nazara Band Hai
Ab To Un Ka Tur Par Bhi Samna Hota Nahin
Har Shanawar Ko Nahin Milta Talatum Se Khiraj
Har Safine Ka Muhafiz Nakhuda Hota Nahin
Har Bhikari Pa Nahin Sakta Maqam-E-Khwajgi
Har Kas-O-Na-Kas Ko Tera Gham Ata Hota Nahin
Hae Ye Beganagi Apni Nahin Mujh Ko Khabar
Hae Ye Aalam Ki Tu Dil Se Juda Hota Nahin
Barha Dekha Hai ‘Saghar’ Rahguzar-E-Ishq Mein
Karwan Ke Sath Aksar Rahnuma Hota Nahin
Read More Poetry:
Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry
Bashir Badr Poetry – Mir Tqi MIr Poetry – Nasir Kazmi Poetry – Sahir Ludhianvi