
Mere Jaise Ban Jao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
Nasir Kazmi Ghazal
Mere Jaise Ban Jao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
Deewaron Se Sar Takrao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
Har Baat Gawara Kar Lo Ge Minnat Bhi Utara Kar Lo Ge
Taweezain Bhi Bandhwao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
Tanhai Ke Jhoolay Kholenge Har Baat Purani Bhoolenge
Aaine Se Tum Ghabrao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
Jab Sooraj Bhi Kho Jaye Ga Aur Chaand Kahin So Jaye Ga
Tum Bhi Ghar Der Se Aao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
Bechaini Barh Jaye Gi Aur Yaad Kisi Ki Aaye Gi
Tum Meri Ghazlein Gao Ge Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga
میرے جیسے بن جاؤ گے جب عشق تمہیں ہو جائے گا
دیواروں سے سر ٹکراؤگے جب عشق تمہیں ہو جائے گا
ہر بات گوارا کر لو گے منت بھی اتارا کر لو گے
تعویذیں بھی بندھواؤ گے جب عشق تمہیں ہو جائے گا
تنہائی کے جھولے کھولیں گے ہر بات پرانی بھولیں گے
آئینے سے تم گھبراؤگے جب عشق تمہیں ہو جائے گا
جب سورج بھی کھو جائے گا اور چاند کہیں سو جائے گا
تم بھی گھر دیر سے آؤ گے جب عشق تمہیں ہو جائے گا
بے چینی بڑھ جائے گی اور یاد کسی کی آئے گی
تم میری غزلیں گاؤ گے جب عشق تمہیں ہو جائے گا
Jo Ho Saka Na Mera Us Ko Bhool Jaoon Main – Ghazal
Khushi Ne Mujh Ko Thukraya Hai – Begum Akhtar Lyrics
Waarasta Us Se Hain Ke Mohabbat Hi Kyun Na Ho – Mirza Ghalib
Azab-E-Deed Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke – Mohsin Naqvi