
Ghazal: Phal Jaye Mohabbat To Mohabbat Hai Mohabbat
Poet: Manzar Lakhnavi
Phal Jaye Mohabbat To Mohabbat Hai Mohabbat
Aur Raas Na Aaye To Museebat Hai Mohabbat
Sarmaya-E-Deewana-E-Ulfat Hai Mohabbat
Ae Ulte Hue Dil Teri Keemat Hai Mohabbat
Hai Hum Hi Talak Khair Ghaneemat Hai Mohabbat
Ho Jaye Unhein Bhi To Qayamat Hai Mohabbat
Ro Ro Ke Woh Poochhenge Meri Aankh Se Aansoo
Aayenge Woh Din Bhi Jo Salamat Hai Mohabbat
Badnaam Kiya Laakh Tujhe Khud Garazon Ne
Phir Bhi Teri Duniya Ko Zarurat Hai Mohabbat
Duniya Kahe Kuch Hai Magar Imaan Ki Yeh Baat
Hone Ki Tarah Ho To Ibadat Hai Mohabbat
Hai Jin Se In Aankhon Ki Kasam Khata Hoon Manzar
Mere Liye Parwana-E-Jannat Hai Mohabbat
پھل جائے محبت تو محبت ہے محبت
اور راس نہ آئے تو مصیبت ہے محبت
سرمایۂ دیوانۂ الفت ہے محبت
اے الٹے ہوئے دل تری قیمت ہے محبت
ہے ہم ہی تلک خیر غنیمت ہے محبت
ہو جائے انہیں بھی تو قیامت ہے محبت
رو رو کے وہ پوچھیں گے مری آنکھ سے آنسو
آئیں گے وہ دن بھی جو سلامت ہے محبت
بدنام کیا لاکھ تجھے خود غرضوں نے
پھر بھی تری دنیا کو ضرورت ہے محبت
دنیا کہے کچھ ہے مگر ایمان کی یہ بات
ہونے کی طرح ہو تو عبادت ہے محبت
ہے جن سے ان آنکھوں کی قسم کھاتا ہوں منظرؔ
میرے لیے پروانۂ جنت ہے محبت
Mere Jaise Ban Jao Ge Jab Ishq Tumhein – Nasir Kazmi
Jab Bahaar Aayi To Sehra Ki Taraf Chal Nikla (Full Ghazal)
Yeh Galiyon Ke Awaara Bekaar Kutte (Lyrics) – Faiz Ahmad Faiz