
Na Pooch Parizadon Se Ye Hijr Kaise Jheela Hai (Lyrics)
Husn Ke Jazeeron Mein Roop Ke Kinaron Par
Reshmi Andhere Hain, Surmai Ujale Hain
Ek Naaz Afreen Dil Par Qabza Jamai Baithi Hai
Jis Ki Jheel Aankhon Mein Do Neel Gon Se Piyale Hain
Na Pooch Pari Zadon Se Ye Hijr Kaise Jheela Hai
Ye Tan Badan To Chilni Hai Aur Rooh Par Bhi Chhale Hain
Kaise Jaan Paoge? Ishq Mein Kya Guzri Hai?
Kitne Zakhm Khaye Hain? Kitne Dard Paale Hain?
Khwahishon Ke Jungle Mein Hasraton Ke Bistar Par
Jism To Gulabi Hain Aur Dil Se Kale Hain
Main Roop Ka Pujari Hoon, Main Lams Ka Bhikari Hoon
Lekin Jahan Mein Basta Hoon Wahan Mandiron Pe Taale Hain
Kya Ishq Woh Nibhayenge? Kya Husn Ko Woh Sarahenge?
Tareek Jin Ke Chehre Hain Muqaddaron Pe Jaale Hain
Dushmanon Se Kya Shikwa? Kya Gila Raqeebon Se?
Ye Saanp Aasteenon Mein Hum Ne Khud Hi Paale Hain
Na Pooch Pari Zadon Se Ye Hijr Kaise Jheela Hai
Ye Tan Badan To Chilni Hai Aur Rooh Par Bhi Chhale Hain
Kaise Jaan Paoge? Ishq Mein Kya Guzri Hai?
Kitne Zakhm Khaye Hain? Kitne Dard Paale Hain?
Na Pooch Parizadon Se Ye Hijr Kaise Jheela Hai
(Lyrics in Urdu)
حُسن کے جزیروں میں روپ کے کناروں پر
ریشمی اندھیرے ہیں، سُرمئی اُجالے ہیں
ایک ناز آفریں دل پر قبضہ جمائی بیٹھی ہے
جس کی جھیل آنکھوں میں دو نیل گوں سے پیالے ہیں
نا پوچھ پری زادوں سے یہ ہجر کیسے جھیلہ ہے
یہ تن بدن تو چلھنی ہے اور روح پر بھی چھالے ہیں
کیسے جان پاؤں گے؟ عشق میں کیا گُزری ہے؟
کتنے زخم کھائے ہیں؟ کتنے درد پالے ہیں؟
خواہشوں کے جنگل میں حسرتوں کے بستر پر
جسم تو گلابی ہیں اور دل سے کالے ہیں
میں روپ کا پُجاری ہوں، میں لمس کا بھکاری ہوں
لیکن جہاں میں بستا ہوں وہاں مندروں پہ تالے ہیں
کیا عشق وہ نبھائیں گے؟ کیا حسن کو وہ سراہیں گے؟
تاریک جن کے چہرے ہیں مُقدروں پہ جالے ہیں
دشمنوں سے کیا شکوہ؟ کیا گلہ رقیبوں سے؟
یہ سانپ آستینوں میں ہم نے خود ہی پالے ہیں
نا پوچھ پری زادوں سے یہ ہجر کیسے جھیلا ہے
یہ تن بدن تو چلھنی ہے اور روح پر بھی چھالے ہیں
کیسے جان پاؤں گے؟ عشق میں کیا گُزری ہے؟
کتنے زخم کھائے ہیں؟ کتنے درد پالے ہیں؟
Aap Ko Dekh Kar Dekhta Rah Gaya – Jagjit Singh Lyrics
Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-E-Zindagi Se Hum (Lyrics)
Wo Firaq Aur Wo Visal Kahan – Mirza Ghalib Poetry