
Apne Ehsas Se Chhoo Kar Mujhe Sandal Kar Do
Wasi Shah Poetry
Apne Ehsas Se Chhoo Kar Mujhe Sandal Kar Do
Main Ke Sadiyon Se Adhoora Hoon Mukammal Kar Do
Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot Ke Chaho Mujhe Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango
Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do
Us Ke Saaye Mein Mere Khwab Dahak Uthenge
Mere Chehre Pe Chamakta Hua Anchal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Par
Is Qadar Barso Meri Rooh Mein Jal Thal Kar Do
Jaise Sahraon Mein Har Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Mein Chalo Aur Mujhe Jal Thal Kar Do
Tum Chhupa Lo Mera Dil Oat Mein Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nigahon Se Bhi Oojhal Kar Do
Masla Hoon To Nigahen Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjo Se Mujhe Hal Kar Do
Apne Gham Se Kaho Har Waqt Mere Sath Rahe
Ek Ehsaan Karo Us Ko Musalsal Kar Do
Mujh Pe Chha Jao Kisi Aag Ki Soorat Jana
Aur Meri Zaat Ko Sookha Hua Jungle Kar Do
اپنے احساس سے چھو کر مجھے صندل کر دو
میں کہ صدیوں سے ادھورا ہوں مکمل کر دو
نہ تمہیں ہوش رہے اور نہ مجھے ہوش رہے
اس قدر ٹوٹ کے چاہو مجھے پاگل کر دو
تم ہتھیلی کو مرے پیار کی مہندی سے رنگو
اپنی آنکھوں میں مرے نام کا کاجل کر دو
اس کے سائے میں مرے خواب دہک اٹھیں گے
میرے چہرے پہ چمکتا ہوا آنچل کر دو
دھوپ ہی دھوپ ہوں میں ٹوٹ کے برسو مجھ پر
اس قدر برسو مری روح میں جل تھل کر دو
جیسے صحراؤں میں ہر شام ہوا چلتی ہے
اس طرح مجھ میں چلو اور مجھے جل تھل کر دو
تم چھپا لو مرا دل اوٹ میں اپنے دل کی
اور مجھے میری نگاہوں سے بھی اوجھل کر دو
مسئلہ ہوں تو نگاہیں نہ چراؤ مجھ سے
اپنی چاہت سے توجہ سے مجھے حل کر دو
اپنے غم سے کہو ہر وقت مرے ساتھ رہے
ایک احسان کرو اس کو مسلسل کر دو
مجھ پہ چھا جاؤ کسی آگ کی صورت جاناں
اور مری ذات کو سوکھا ہوا جنگل کر دو
Hum To Gum Ho Gaye Halaat Ke Sanaate Mein – Urdu Shayari
2 Line Chand Poetry in Urdu Text – Moon Poetry in Urdu
Dhundoge Agar Mulkon Mulkon – Lyrics in Urdu