Ahmad Faraz

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega – Ahmad Faraz

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega

Ahmad Faraz Shayari

 

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jayega

Itna Manhoos Na Ho Khalwat-E-Gham Se Apni
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhega To Dar Jayega

Doobte Doobte Kashti Ko Uchaala De Doon
Main Nahin Koi To Saahil Pe Utar Jayega

Zindagi Teri Ata Hai To Ye Jaane Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dher Jayega

Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz
Zaalim Ab Ke Bhi Na Royega To Mar Jayega

 

آنکھ سے دور نہ ہو دل سے اتر جائے گا
وقت کا کیا ہے گزرتا ہے گزر جائے گا

اتنا مانوس نہ ہو خلوت غم سے اپنی
تو کبھی خود کو بھی دیکھے گا تو ڈر جائے گا

ڈوبتے ڈوبتے کشتی کو اچھالا دے دوں
میں نہیں کوئی تو ساحل پہ اتر جائے گا

زندگی تیری عطا ہے تو یہ جانے والا
تیری بخشش تری دہلیز پہ دھر جائے گا

ضبط لازم ہے مگر دکھ ہے قیامت کا فرازؔ
ظالم اب کے بھی نہ روئے گا تو مر جائے گا

Read More Ahmad Faraz Poetry in Urdu

Teri Baatein Hi Sunane Aaye
Samne Us Ke Kabhi Us Ki Sataish Nahin Ki
Aisa Hai Keh Sab Khwab Musalsal Nahin Hote 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *