Jaun Elia

Ae Kooye Yaar Tere Zamane Guzar Gaye – Jaun Elia

Ae Kooye Yaar Tere Zamane Guzar Gaye

Jaun Elia Shayari

Ae Kooye Yaar Tere Zamane Guzar Gaye
Jo Apne Ghar Se Aaye The Woh Apne Ghar Gaye

Ab Kaun Zakhm-O-Zehr Se Rakhega Silsila
Jeene Ki Ab Havas Hai Humein Hum To Mar Gaye

Ab Kya Kahoon Ke Saara Mohalla Hai Sharmsaar
Main Hoon Azaab Mein Ke Mere Zakhm Bhar Gaye

Hum Ne Bhi Zindagi Ko Tamasha Bana Diya
Is Se Guzar Gaye Kabhi Khud Se Guzar Gaye

Tha Ran Bhi Zindagi Ka Ajab Tirfah Maajra
Yani Uthe To Paon Magar Jaun Sar Gaye

اے کوئے یار تیرے زمانے گزر گئے
جو اپنے گھر سے آئے تھے وہ اپنے گھر گئے

اب کون زخم و زہر سے رکھے گا سلسلہ
جینے کی اب ہوس ہے ہمیں ہم تو مر گئے

اب کیا کہوں کہ سارا محلہ ہے شرمسار
میں ہوں عذاب میں کہ مرے زخم بھر گئے

ہم نے بھی زندگی کو تماشا بنا دیا
اس سے گزر گئے کبھی خود سے گزر گئے

تھا رن بھی زندگی کا عجب طرفہ ماجرا
یعنی اٹھے تو پاؤں مگر جونؔ سر گئے

 

Read More Jaun Elia Poetry in Urdu

Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi
Hum To Gum Ho Gaye Halaat Ke Sanaate Mein
Sari Duniya Ke Gham Hamare Hain

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *