
Mehak Uthha Hai Aangan Is Khabar Se
Jaun Elia Poetry
Mehak Uthha Hai Aangan Is Khabar Se
Woh Khushboo Loot Aayi Hai Safar Se
Judaayi Ne Use Dekha Sar-E-Baam
Dariye Par Shafaq Ke Rang Barse
Main Is Deewar Par Chadh To Gaya Tha
Utare Kaun Ab Deewar Par Se
Gala Hai Ak Gali Se Shahr-E-Dil Ki
Main Larta Phir Raha Hoon Shahr Bhar Se
Usay Dekhe Zamane Bhar Ka Yeh Chaand
Hamari Chandni Saye Ko Tarse
Meri Mandan Guzra Kar Meri Jaan
Kabhi To Khud Bhi Apni Raahgar Se
مہک اٹھا ہے آنگن اس خبر سے
وہ خوشبو لوٹ آئی ہے سفر سے
جدائی نے اسے دیکھا سرِ بام
دریچے پر شفق کے رنگ برسے
میں اس دیوار پر چڑھ تو گیا تھا
اتارے کون اب دیوار پر سے
گلہ ہے اک گلی سے شہرِ دل کی
میں لڑتا پھر رہا ہوں شہر بھر سے
اسے دیکھے زمانے بھر کا یہ چاند
ہماری چاندنی سائے کو ترسے
مری مانند گزرا کر مری جاں
کبھی تو خود بھی اپنی راہگزر سے
Read More:
Jab Tera Hukm Mila Tark-E-Mohabbat Kar Di
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega
Phal Jaye Mohabbat To Mohabbat Hai Mohabbat
Ae Jazba-e-Dil Gar Main Chahoon Har Cheez Muqabil