Nusrat Fateh Ali Khan

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya – NFAK Lyrics

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya

Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics

 

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya
Kaaghaz Pe Shaam Kaat Ke Phir Shaam Likh Diya

Bikhri Padi Thi Toot Ke Kaliyan Zameen Par
Tarteeb De Ke Maine Tera Naam Likh Diya

Aasaan Nahin Thi Tark-E-Mohabbat Ki Daastan
Do Aansuon Ne Aakhri Paighaam Likh Diya

Hum Ko Kisi Ke Husn Ne Shaayar Bana Diya
Honton Ka Naam Le Na Sake, Jaam Likh Diya

ALLAH Zindagi Se Kahaan Tak Nibhao Main
Us Bewafa Ke Saath Mera Naam Likh Diya

Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ek Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Diya

Qaisar Kisi Ki Dein Hai Ye Shaayari Meri
Us Ki Ghazal Pe Kis Ne Mera Naam Likh Diya

برسوں کے انتظار کا انجام لکھ دیا
کاغذ پے شام کاٹ کے پھر شام لکھ دیا

بکھری پڑی تھی ٹوٹ کے کلیاں زمین پر
ترتیب دے کے میں نے تیرا نام لکھ دیا

آساں نہیں تھی ترک محبت کی داستاں
دو آنسوؤں نے آخری پیغام لکھ دیا

ہم کو کسی کے حسن شاعر بنا دیا
ہونٹوں کا نام لے نہ سکے جام لکھ دیا

اللہ زندگی سے کہاں تک نبھاؤں میں
اس بے وفا کے ساتھ میرا نام لکھ دیا

تقسیم ہو رہی تھی خدائی کی نعمتیں
ایک عشق بچ گیا سو میرے نام لکھ دیا

قیصرؔ کسی کی دین ہے یہ شاعری میری
اس کی غزل پے کس نے میرا نام لکھ دیا

 

Read More NFAK Lyrics:

Aaj Koi Baat Ho Gayi – Lyrics
Wo Hata Rahe Hain Parda (Lyrics) 
Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai (Lyrics)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *