
Shab-E-Gham Ki Sehar Nahi Hoti (Lyrics)
Nusrat Fateh Ali Khan
Shab-E-Gham Ki Sehar Nahi Hoti
Ho Bhi To Mere Ghar Nahi Hoti
Zindagi Tu Hi Mukhtasir Ho Ja
Shab-E-Gham Mukhtasir Nahi Hoti
Lazzat-E-Intezaar Leta Hoon
Yun Shab-E-Gham Guzaar Leta Hoon
Jab Bhi Dasti Hai Mujh Ko Tanhai
Naam Tera Pakar Leta Hoon
Kya Meri Baat Ka Yaqeen Nahi
Koi Bhi Aap Se Haseen Nahi
Be Jhijak Dil Mein Tum Chale Aao
Is Makaan Mein Koi Makeen Nahi
Aap Aayein Ghareeb Khane Mein
Sach To Yeh Hai Mujhe Yaqeen Nahi
Aap Ke Rooye Yasmeen Ki Qasam
Chaand Bhi Is Qadar Haseen Nahi
شب غم کی سحر نہیں ہوتی
ہو بھی تو میرے گھر نہیں ہوتی
زندگی تو ہی مختصر ہو جا
شب غم مختصر نہیں ہوتی
لذت انتظار لیتا ہوں
یوں شب غم گزار لیتا ہوں
جب بھی ڈستی ہے مجھ کو تنہائی
نام تیرا پکار لیتا ہوں
کیا میری بات کا یقین نہیں
کوئی بھی آپ سے حسین نہیں
بے جھجک دل میں تم چلے آؤ
اس مکاں میں کوئی مکین نہیں
آپ آئیں غریب خانے میں
سچ تو یہ ہے مجھے یقین نہیں
آپ کے روئے یاسمیں کی قسم
چاند بھی اس قدر حسین نہیں
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho – ٖFull Lyrics in Urdu
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre (Full Lyrics)
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega