Muhammad Ali Zahoori

Jab Masjid Nabvi Ke Minaar Nazar Aaye (Naat Lyrics)

Jab Masjid Nabvi Ke Minaar Nazar Aaye

 

Jab Masjid-E-Nabwi Ke Minaar Nazar Aaye
Allah Ki Rehmat Ke Asaar Nazar Aaye

Manzar Ho Bayaan Kaise Alfaaz Nahin Milte
Jis Waqt Muhammad ﷺ Ka Darbaar Nazar Aaye

Bas Yaad Raha Itna Seene Se Lagi Jaali
Phir Yaad Nahin Kya Kya Anwaar Nazar Aaye

Dukh Dard Ke Maaron Ko Gham Yaad Nahin Rehte
Jab Samne Aankhon Ke Gham Khwaar Nazar Aaye

Makke Ki Fazaaon Mein Tayyiba Ki Hawaaon Mein
Hum Ne To Jidhar Dekha Sarkar Nazar Aaye

Chhod Aaya Zahoori Mein Dil-O-Jaan Madine Mein
Ab Jeena Yahaan Mujh Ko Dushwaar Nazar Aaye

Jab Masjid-E-Nabwi Ke Minaar Nazar Aaye
Allah Ki Rehmat Ke Asaar Nazar Aaye

 

Jab Masjid Nabvi Ke Minaar Nazar Aaye
Naat Lyrics in Urdu Text

 

جب مسجد نبوی کے مینار نظر آئے
اللہ کی رحمت کے آثارنظر آئے

منظر ہوں بیاں کیسے الفاظ نہیں ملتے
جس وقت محمد ﷺ کا دربار نظر آئے

بس یاد رہا اتنا سینے سے لگی جالی
پھر یاد نہیں کیا کیا انوار نظر آئے

دکھ درد کے ماروں کو غم یاد نہیں رہتے
جب سامنے آنکھوں کے غم خوار نظر آئے

مکے کی فضاؤں میں طیبہ کی ہواؤں میں
ہم نے تو جِدھر دیکھا سرکار نظر آئے

چھوڑ آیا ظہوری میں دل و جان مدینے میں
اب جینا یہاں مجھ کو دشوار نظر آئے

جب مسجد نبوی کے مینار نظر آئے
اللہ کی رحمت کے آثارنظر آئے

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *