
Hamaari Saanson Mein Aaj Tak Woh Hina Ki Khushboo (Lyrics)
Hamaari Saanson Mein Aaj Tak Woh Hina Ki Khushboo Mehak Rahi Hai
Labon Pe Naghme Machal Rahe Hain, Nazar Se Masti Chhalak Rahi Hai
Woh Mere Nazdeek Aate Aate, Haya Se Ek Din Simat Gaye The
Mere Khayalon Mein Aaj Tak Woh, Badan Ki Daali Lachak Rahi Hai
Kabhi Jo The Pyaar Ki Zamaanat, Woh Haath Hain Ghair Ki Amaanat
Jo Qasmein Khate The Chahaton Ki, Unhi Ki Niyat Behak Rahi Hai
Kisi Se Koi Gila Nahin Hai Naseeb Hi Mein Wafa Nahin Hai
Jahan Kahin Tha Hina Ko Khilna, Hina Wahin Pe Mehak Rahi Hai
Woh Jin Ki Khaatir Ghazal Kahi Thi, Woh Jin Ki Khaatir Likhe The Naghme
Unhi Ke Aage Sawaal Ban Ke Ghazal Ki Jhanjhar Chhanak Rahi Hai
Tarap Mere Beqaraar Dil Ki Kabhi To Un Pe Asar Karegi
Kabhi To Woh Bhi Jalenge Is Mein Jo Aag Dil Mein Dehak Rahi Hai
Hamaari Saanson Mein Aaj Tak Woh
Lyrics in Urdu
ہماری سانسوں میں آج تک وہ حنا کی خوشبو مہک رہی ہے
لبوں پہ نغمے مچل رہے ہیں، نظر سے مستی چھلک رہی ہے
وہ میرے نزدیک آتے آتے، حیا سے اک دن سِمٹ گئے تھے
میرے خیالوں میں آج تک وہ ، بدن کی ڈالی لچک رہی ہے
کبھی جو تھے پیار کی ضمانت، وہ ہاتھ ہیں غیر کی امانت
جو قسمیں کھاتے تھے چاہتوں کی، انہی کی نیت بہک رہی ہے
کسی سے کوئی گلہ نہیں ہے نصیب ہی میں وفا نہیں ہے
جہاں کہیں تھا حنا کو کھلنا، حنا وہیں پہ مہک رہی ہے
وہ جن کی خاطر غزل کہی تھی، وہ جن کی خاطر لکھے تھے نغمے
انہیں کے آگے سوال بن کے غزل کی جھانجھر چھنک رہی ہے
تڑپ میرے بے قرار دل کی کبھی تو ان پہ اثر کرے گی
کبھی تو وہ بھی جلیں گے اس میں جو آگ دل میں دہک رہی ہے
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre (Full Lyrics)
Na Pooch Parizadon Se Ye Hijr Kaise Jheela Hai
Woh Hum Safar Tha Magar Us Se Hum Nawai Na Thi