Nusrat Fateh Ali Khan

Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuch Bhi Nahi – Lyrics

Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuch Bhi Nahi

Nusrat Fateh Ali Khan 

Uske nazdik gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi
Mutma’in aesa hai woh jese ke hua kuch bhi nahi

اس کے نزدیک غم ترک وفا کچھ بھی نہیں
مطمئن ایسا ہے وہ جیسے ہوا کچھ بھی نہیں

Ab to hathon se lakeeren bhi mitti jaati hain
Us ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahi

اب تو ہاتھوں سے لکیریں بھی مٹی جاتی ہیں
اس کو کھو کر تو مرے پاس رہا کچھ بھی نہیں

Kal bicharna hai to phir ehd-e-wafaa soch ke bandh
Abhi aghaaz-e-mohabbat hai geya kuch bhi nahi

کل بچھڑنا ہے تو پھر عہد وفا سوچ کے باندھ,
ابھی آغاز محبت ہے گیا کچھ بھی نہیں

Main to is wastay chup hoon ke tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gilaa kuch bhi nahi

میں تو اس واسطے چپ ہوں کہ تماشا نہ بنے
تو سمجھتا ہے مجھے تجھ سے گلا کچھ بھی نہیں

Ae shumaar ankhen isi tarah bichaaye rakhna
Jaane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahi

اے شمارؔ آنکھیں اسی طرح بچھائے رکھنا
جانے کس وقت وہ آ جائے پتا کچھ بھی نہیں

 

Read More:

Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par (Lyrics in Urdu / Hindi)
Aik Muddat Hui Tumko Dekha Nahi – Lyrics in Urdu / Hindi
Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi – Lyrics in Urdu / Hindi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *