
Woh Dil Nawaz Hai Lekin Nazar Shanaas Nahi
Nasir Kazmi Poetry – Urdu Shayari
Woh Dil Nawaz Hai Lekin Nazar Shanaas Nahi
Mera Ilaaj Mere Chaara-Gar Ke Paas Nahi
Tadap Rahe Hain Zubaan Par Kai Sawaal Magar
Mere Liye Koi Shaayaan-E-Iltimaas Nahi
Tere Jalu Mein Bhi Dil Kaanp Kaanp Uthta Hai
Mere Mizaaj Ko Aasoodgi Bhi Raas Nahi
Kabhi Kabhi Jo Tere Qurb Mein Guzaare The
Ab Un Dinon Ka Tasavvur Bhi Mere Paas Nahi
Guzar Rahe Hain Ajab Marahalon Se Deedah-O-Dil
Sehar Ki Aas To Hai, Zindagi Ki Aas Nahi
Mujhe Ye Dar Hai Teri Aarzu Na Mit Jaye
Bohat Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahi
Woh Dil Nawaz Hai Lekin Nazar Shanaas Nahi
in Urdu Text
وہ دل نواز ہے لیکن نظر شناس نہیں
مرا علاج مرے چارہ گر کے پاس نہیں
تڑپ رہے ہیں زباں پر کئی سوال مگر
مرے لیے کوئی شایان التماس نہیں
ترے جلو میں بھی دل کانپ کانپ اٹھتا ہے
مرے مزاج کو آسودگی بھی راس نہیں
کبھی کبھی جو ترے قرب میں گزارے تھے
اب ان دنوں کا تصور بھی میرے پاس نہیں
گزر رہے ہیں عجب مرحلوں سے دیدہ و دل
سحر کی آس تو ہے زندگی کی آس نہیں
مجھے یہ ڈر ہے تری آرزو نہ مٹ جائے
بہت دنوں سے طبیعت مری اداس نہیں