Naat Lyrics

Zameen Meli Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota – (Naat Lyrics)

زمیں میلی نہیں ہوتی زمن میلا نہیں ہوتا

Zameen Meli Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota

شاعر : سید ناصر چشتی

Zameen Meli Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota
Muhammad ﷺ Ke Ghulamon Ka Kafan Mela Nahi Hota

Mohabbat Kamli Wale Se Woh Jazba Hai Suno Logo
Yeh Jis Man Mein Sama Jaye Woh Man Mela Nahi Hota

Nabi Ke Paak Langar Par Jo Paltay Hain Kabhi Unki
Zubaan Meli Nahi Hoti Sukhan Mela Nahi Hota

Mere Aaqa Ki Ulfat To Badan Ko Jagmagati Hai
Kabhi Ahl-e-Muhammad ﷺ Ka Badan Mela Nahi Hota

Gulon Ko Choom Lete Hain Sehar Num Shabnami Qatre
Nabi Ki Naat Sun Lein To Chaman Mela Nahi Hota

Jo Naam Mustafa Choomain Kabhi Dukhti Nahi Aankhein
Pehan Le Pyaar Jo Unka Badan Mela Nahi Hota

Main Naza’n To Nahi Fun Par Magar Nasir Yeh Daawa Hai
Sana-e-Mustafa Karne Se Fun Mela Nahi Hota

Zameen Meli Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota –
(Naat Lyrics in Urdu Text)

زمیں میلی نہیں ہوتی زمن میلا نہیں ہوتا
محمد ﷺ کے غلاموں کا کفن میلا نہیں ہوتا

محبت کملی والے سے وہ جذبہ ہے سنو لوگو
یہ جس من میں سما جائے وہ من میلا نہیں ہوتا

نبی کے پاک لنگر پر جو پلتے ہیں کبھی ان کی
زباں میلی نہیں ہوتی سخن میلا نہیں ہوتا

میرے آقا کی الفت تو بدن کو جگمگاتی ہے
کبھی اہل محمد ﷺ کا بدن میلا نہیں ہوتا

گلوں کو چوم لیتے ہیں سحر نم شبنمی قطرے
نبی کی نعت سن لیں تو چمن میلا نہیں ہوتا

جو نام مصطفےٰ چومیں کبھی دکھتی نہیں آنکھیں
پہن لے پیار جو انکا بدن میلا نہیں ہوتا

میں نازاں تو نہیں فن پر مگر ناصر یہ دعویٰ ہے
ثنائے مصطفےٰ کرنے سے فن میلا نہیں ہوتا

 

Arshe Haq Hai Musnade Rif’at Rasoolullah ﷺ Ki
Mujh Mein Unki Sana Ka Saleeqa Kahan 
Soz e Dil Chahiye Chashm e Nam Chahiye
Jab Masjid Nabvi Ke Minaar Nazar Aaye 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *