Islamic Lyrics

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai – Lyrics in Urdu

جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
– Lyrics in Roman –

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Jahan Mein Hain Ibrat Ke Har Soo Namoone
Magar Tujh Ko Andha Kiya Rang-o-Boo Ne
Kabhi Ghaur Se Bhi Dekha Hai Tu Ne
Jo Maamoor The Woh Mahal Ab Hain Soone

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Mile Khaak Mein Ahl-e-Shaan Kaise Kaise
Makeen Ho Gaye La-Makaan Kaise Kaise
Hue Naamwar Be-Nishaan Kaise Kaise
Zameen Kha Gayi Aasmaan Kaise Kaise

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Ajal Ne Na Kisra Hi Chhoda Na Dara
Isi Se Sikandar Sa Faateh Bhi Haara
Har Ek Chhod Ke Kya Kya Hasrat Sidhara
Pada Reh Gaya Sab Yahin Thhaath Saara

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Tujhe Pehle Bachpan Mein Barson Khilaya
Jawani Ne Phir Tujh Ko Majnoon Banaya
Burhape Ne Phir Aa Ke Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar De Gi Bilkul Safaya

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Yahi Tujh Ko Dhun Hai Raho Sab Se Baala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marne Wala?
Tujhe Husn-e-Zaahir Ne Dhoke Mein Dala

Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi?
Junoon Chhod Kar Ab Hosh Mein Aa Bhi
Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai

– Lyrics in Urdu Text –

 

جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے

جہاں میں ہیں عبرت کے ہر سُو نمونے
مگر تجھ کو اندھا کیا رنگ و بُو نے
کبھی غور سے بھی دیکھا ہے تو نے
جو معمور تھے وہ محل اب ہیں سُونے

جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے

ملے خاک میں اہلِ شاں کیسے کیسے
مکیں ہو گٔیٔے لا مکاں کیسے کیسے
ھؤے ناموَر بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گٔیٔ آسماں کیسے کیسے

جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے

اجل نے نہ کسریٰ ہی چھوڑا نہ دارا
اسی سے سکندرسا فاتح بھی ہارا
ہر ایک چھوڑ کے کیاکیا حسرت سدھارا
پڑا رہ گیا سب یہیں ٹھاٹ سارا

جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے

تجھے پہلے بچپن میں برسوں کھلایا
جوانی نے پھر تجھ کو مجنوں بنایا
بڑھاپے نے پھر آ کے کیا کیا ستایا
اجل تیرا کر دے گی بالکل صفایا

جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے

یہی تجھ کو دھُن ہے رہُوں سب سے بالا
ہو زینت نرالی ہو فیشن نرالا
جیا کرتا ہے کیا یونہی مرنے والا؟
تجھے حسنِ ظاہر نے دھوکے میں ڈالا

کؤی تیری غفلت کی ہے انتہا بھی؟
جنون چھوڑ کر اب ہوش میں آ بھی
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے

 

Yeh Khushiyan Yeh Zindagi Yeh Lazaton Ka Saroor (Lyrics)
Un Ke Andaz-E-Karam Un Pe Wo Aana Dil Ka (Lyrics)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *