
Phirte Hain Ab Bhi Dil Ko Garebaan Kiye Hue
Ahmad Faraz Poetry in Urdu
Phirte Hain Ab Bhi Dil Ko Garebaan Kiye Hue
Jin Wahshiyon Pe Hain Tere Ehsaan Kiye Hue
Tajdeed-e-Ishq Kya Ho Ke Barson Guzar Gaye
Tujh Se Koi Sukhan Bhi Meri Jaan Kiye Hue
Ab Tujh Se Kya Gila Ho Ke Ek Umar Ho Gayi
Hum Ko Bhi Qasd-e-Koocha-e-Janaan Kiye Hue
Dil Se Hui Hai Phir Tere Baare Mein Guftagu
Tar Aansuon Se Deeda-o-Damaan Kiye Hue
Jee Maanta Nahin Hai Ke Hum Bhi Bhula Sakay
Teri Tarah Se Wada-o-Paiman Kiye Hue
Kuch Zid Mein Naasihon Ki Tujhe Chahte Rahe
Kuch Pasdari-e-Dil-e-Nadaan Kiye Hue
Hum Woh Ke Tujh Ko She’r Mein Tasveer Kar Diya
Soorat Garaan-e-Shehar Ko Hairaan Kiye Hue
Bazaar Sard Tha Na Khareedaar Kam Nazar
Hum Khud The Apne Aap Ko Arzaan Kiye Hue
Ae Ishq Hum Se Aur Bhi Honge Zamane Mein
Achay Bhale Gharon Ko Biyaban Kiye Hue
Kuch Hum Se Naamuraad Ke Phirte Hain Ko Ba Ko
Dil Ko Kisi Faqeer Ka Damaan Kiye Hue
Wada Kiya Tha Usne Kisi Shaam Ka Kabhi
Hum Aaj Tak Hain Ghar Mein Charaaghan Kiye Hue
Ab Us Ke Jor Se Bhi Gaye Hum Ke Jab Se Hain
Apne Kiye Pe Us Ko Pashemaan Kiye Hue
Ye Rat Jage Qubool Ke Aaram Se To Hain
Rakhte The Warna Khwab Pareshan Kiye Hue
Hum Woh Aseer Hain Ke Zamane Guzar Gaye
Band Apne Aap Par Dar-e-Zindaan Kiye Hue
Tark-e-Wafa Ke Baad Hawas Ikhtiyar Ki
Is Karobaar Mein Bhi Hain Nuqsaan Kiye Hue
Jaan Faraz Marg-e-Tamanna Ke Bawajood
Bhoole Nahin Humein Tere Ehsaan Kiye Hue
پھرتے ہیں اب بھی دل کو گریباں کیے ہوئے
جن وحشیوں پہ ہیں ترے احساں کیے ہوئے
تجدید عشق کیا ہو کے برسوں گزر گئے
تجھ سے کوئی سخن بھی مری جاں کیے ہوئے
اب تجھ سے کیا گلہ ہو کے اک عمر ہو گئی
ہم کو بھی قصد کوچۂ جاناں کیے ہوئے
دل سے ہوئی ہے پھر ترے بارے میں گفتگو
تر آنسوؤں سے دیدہ و داماں کیے ہوئے
جی مانتا نہیں ہے کہ ہم بھی بھلا چکیں
تیری طرح سے وعدہ و پیماں کیے ہوئے
کچھ ضد میں ناصحوں کی تجھے چاہتے رہے
کچھ پاسداریٔ دل ناداں کیے ہوئے
ہم وہ کہ تجھ کو شعر میں تصویر کر دیا
صورت گران شہر کو حیراں کیے ہوئے
بازار سرد تھا نہ خریدار کم نظر
ہم خود تھے اپنے آپ کو ارزاں کیے ہوئے
اے عشق ہم سے اور بھی ہوں گے زمانے میں
اچھے بھلے گھروں کو بیاباں کیے ہوئے
کچھ ہم سے نامراد کہ پھرتے ہیں کو بہ کو
دل کو کسی فقیر کا داماں کیے ہوئے
وعدہ کیا تھا اس نے کسی شام کا کبھی
ہم آج تک ہیں گھر میں چراغاں کیے ہوئے
اب اس کے جور سے بھی گئے ہم کہ جب سے ہیں
اپنے کیے پہ اس کو پشیماں کیے ہوئے
یہ رت جگے قبول کہ آرام سے تو ہیں
رکھتے تھے ورنہ خواب پریشاں کیے ہوئے
ہم وہ اسیر ہیں کہ زمانے گزر گئے
بند اپنے آپ پر در زنداں کیے ہوئے
ترک وفا کے بعد ہوس اختیار کی
اس کاروبار میں بھی ہیں نقصاں کیے ہوئے
جان فرازؔ مرگ تمنا کے باوجود
بھولے نہیں ہمیں ترے احساں کیے ہوئے
Ab Kya Sochein Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga (Lyrics)
Mata-e-Qalb-o-Jigar Hain, Humein Kahin Se Milen
Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinaare Ho Bhi Sakta Hai