Ghazal

Us Ko Bhi Hum Se Mohabbat Ho Zaroori To Nahin – Ghazal

Ghazal: Us Ko Bhi Hum Se Mohabbat Ho Zaroori To Nahi

Poet: Saba Akbarabadi

Us Ko Bhi Hum Se Mohabbat Ho Zaroori To Nahin
Ishq Hi Ishq Ki Qeemat Ho Zaroori To Nahin

Ek Din Aap Ki Barham Nighee Dekh Chuke
Roz Ek Taaza Qayamat Ho Zaroori To Nahin

Meri Shamon Ko Hawaon Ne Bujhaya Hoga
Yeh Bhi Un Ki Hi Shararat Ho Zaroori To Nahin

Ahl-e-Duniya Se Marasim Bhi Barhatne Honge
Har Nafas Sirf Ibadat Ho Zaroori To Nahin

Dosti Aap Se Laazim Hai Magar Is Ke Liye
Saari Duniya Se Adaawat Ho Zaroori To Nahin

Pursish-e-Haal Ko Tum Aaoge Us Waqt Mujhe
Lab Hilaane Ki Bhi Taqat Ho Zaroori To Nahin

Sekron Dar Hain Zamane Mein Gadai Ke Liye
Aap Hi Ka Dar-e-Daulat Ho Zaroori To Nahin

Bahami Rabt Mein Ranjish Bhi Maza Deti Hai
Bas Mohabbat Hi Mohabbat Ho Zaroori To Nahin

Zulm Ke Daur Se Ikrah Dili Kaafi Hai
Ek Khoon-Rez Baghawat Ho Zaroori To Nahin

Ek Misra Bhi Jo Zinda Rahe Kaafi Hai Saba
Mere Har She’r Ki Shohrat Ho Zaroori To Nahin

اس کو بھی ہم سے محبت ہو ضروری تو نہیں
عشق ہی عشق کی قیمت ہو ضروری تو نہیں

ایک دن آپ کی برہم نگہی دیکھ چکے
روز اک تازہ قیامت ہو ضروری تو نہیں

میری شمعوں کو ہواؤں نے بجھایا ہوگا
یہ بھی ان کی ہی شرارت ہو ضروری تو نہیں

اہل دنیا سے مراسم بھی برتنے ہوں گے
ہر نفس صرف عبادت ہو ضروری تو نہیں

دوستی آپ سے لازم ہے مگر اس کے لئے
ساری دنیا سے عداوت ہو ضروری تو نہیں

پرسش حال کو تم آؤ گے اس وقت مجھے
لب ہلانے کی بھی طاقت ہو ضروری تو نہیں

سیکڑوں در ہیں زمانے میں گدائی کے لئے
آپ ہی کا در دولت ہو ضروری تو نہیں

باہمی ربط میں رنجش بھی مزا دیتی ہے
بس محبت ہی محبت ہو ضروری تو نہیں

ظلم کے دور سے اکراہ دلی کافی ہے
ایک خوں ریز بغاوت ہو ضروری تو نہیں

ایک مصرعہ بھی جو زندہ رہے کافی ہے صباؔ
میرے ہر شعر کی شہرت ہو ضروری تو نہیں

 

Read More:

Phirte Hain Ab Bhi Dil Ko Garebaan Kiye Hue 
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa Yeh Badi Ajeeb Si Baat Hai 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *