
Koi Haalat Nahi Yeh Hاalat Hai
Jaun Elia Poetry
Koi Haalat Nahi Yeh Haalat Hai
Yeh To Ashoob Naak Soorat Hai
Anjuman Mein Yeh Meri Khamoshi
Bardbaari Nahi Hai Wahshat Hai
Tujh Se Yeh Gaah Gaah Ka Shikwa
Jab Talak Hai Basa Ghanimat Hai
Khawahishen Dil Ka Saath Chhod Gayi
Yeh Azayat Bari Azayat Hai
Log Masroof Jante Hain Mujhe
Yahaan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai
Tanz Piraaya-e-Tabasum Mein
Is Takalluf Ki Kya Zaroorat Hai
Hum Ne Dekha To Hum Ne Yeh Dekha
Jo Nahi Hai Woh Khoobsurat Hai
Waar Karne Ko Jaan Nisaaar Aayein
Yeh To Isaaar Hai Inayat Hai
Garm Joshi Aur Is Qadar Kya Baat
Kya Tumhein Mujh Se Kuch Shikayat Hai
Ab Nikal Aao Apne Andar Se
Ghar Mein Samaaan Ki Zaroorat Hai
Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra
Sar Se Pa Tak Badan Salaamat Hai
کوئی حالت نہیں یہ حالت ہے
یہ تو آشوب ناک صورت ہے
انجمن میں یہ میری خاموشی
بردباری نہیں ہے وحشت ہے
تجھ سے یہ گاہ گاہ کا شکوہ
جب تلک ہے بسا غنیمت ہے
خواہشیں دل کا ساتھ چھوڑ گئیں
یہ اذیت بڑی اذیت ہے
لوگ مصروف جانتے ہیں مجھے
یاں مرا غم ہی میری فرصت ہے
طنز پیرایۂ تبسم میں
اس تکلف کی کیا ضرورت ہے
ہم نے دیکھا تو ہم نے یہ دیکھا
جو نہیں ہے وہ خوبصورت ہے
وار کرنے کو جاں نثار آئیں
یہ تو ایثار ہے عنایت ہے
گرم جوشی اور اس قدر کیا بات
کیا تمہیں مجھ سے کچھ شکایت ہے
اب نکل آؤ اپنے اندر سے
گھر میں سامان کی ضرورت ہے
آج کا دن بھی عیش سے گزرا
سر سے پا تک بدن سلامت ہے
Read More Jaun Elia Poetry:
Mehak Uthha Hai Aangan Is Khabar Se
Ae Kooye Yaar Tere Zamane Guzar Gaye
Ek Hi Muzhda Subh Lati Hai
Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi