Urdu Poetry (Misc)

Meri Dastaan-e-Hasrat Woh Suna Suna Ke Roye – Urdu Poetry

Meri Dastaan-e-Hasrat Woh Suna Suna Ke Roye

Poet: سیف الدین سیف

 

Meri Dastaan-e-Hasrat Woh Suna Suna Ke Roye
Mere Aazmane Wale Mujhe Aazma Ke Roye

Koi Aisa Ahl-e-Dil Ho Ke Fasana-e-Mohabbat
Main Use Suna Ke Rooun Woh Mujhe Suna Ke Roye

Meri Aarzu Ki Duniya Dil-e-Na-Tawan Ki Hasrat
Jise Kho Ke Shaadmaan The Use Aaj Pa Ke Roye

Teri Bewafaiyon Par Teri Kaj Adaaiyon Par
Kabhi Sar Jhuka Ke Roye Kabhi Munh Chhupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Mein Shab-e-Gham Ki Aap Beeti
Kayi Ro Ke Muskuraaye Kayi Muskura Ke Roye

مری داستان حسرت وہ سنا سنا کے روئے
مرے آزمانے والے مجھے آزما کے روئے

کوئی ایسا اہل دل ہو کہ فسانۂ محبت
میں اسے سنا کے روؤں وہ مجھے سنا کے روئے

مری آرزو کی دنیا دل ناتواں کی حسرت
جسے کھو کے شادماں تھے اسے آج پا کے روئے

تری بے وفائیوں پر تری کج ادائیوں پر
کبھی سر جھکا کے روئے کبھی منہ چھپا کے روئے

جو سنائی انجمن میں شب غم کی آپ بیتی
کئی رو کے مسکرائے کئی مسکرا کے روئے

 

Phirte Hain Ab Bhi Dil Ko Garebaan Kiye Hue 
Ae Kooye Yaar Tere Zamane Guzar Gaye
Jab Bahaar Aayi To Sehra Ki Taraf Chal Nikla (Ghazal)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *