
Aag Daman Mein Lag Jayegi
Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics
aag daman mein lag jayegi dil mein shola machal jayega
mera saagar na chchoona kabhi saakiya haath jal jayega
ek din wo zuroor aayenge dard ka saaya dhal jayega
iss zamaane ki parwah nahi ye zamaana badal jayega
aa gaya meri aankhon mein gham ab to jalwa dikha dijiye
aapki baat reh jayegi mera armaan jal jayega
besabab hamse rootho na tum ye ladayi buri cheez hai
sulha kar lo khuda ke liye ye bura waqt tal jayega
maikashon us nazar ki suno keh rahi hai wo shola badan
mai nahi jaam mein aag hai jo piyega wo jal jayega
koi aansu nahi aankh mein baat ghar ki abhi ghar mein hai
tum jo yun hi satate rahe dard ashqon mein dhal jayega
door hain jab talak tumse hum kaise hoga madaawa e gham
ik dafa tum milo to sanam gham khushi mein badal jayega
gar yun hi ghar mein baitha laga maar dalengi tanhaiyan
chal kisi maikade mein chalein aye fana dil bahal jayega
Unke Dar Peh Pohanchne Tou Payein [Lyrics]
Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par (Lyrics in Urdu / Hindi)
Agar Talash Karun Koi Mil Hi Jayega – Bashir Badr Poetry
Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak | Mirza Ghalib