Rahat Indori

Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun – Rahat Indori

اب اپنی روح کے چھالوں کا کچھ حساب کروں

Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun

Rahat Indori Ghazal Poetry

 

Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisab Karun
Main Chahta Tha Charaghon Ko Aaftab Karun

اب اپنی روح کے چھالوں کا کچھ حساب کروں
میں چاہتا تھا چراغوں کو ماہتاب کروں

Mujhe Buton Se Ijazat Agar Kabhi Mil Jaye
To Shehar-Bhar Ke Khudaon Ko Be-Naqab Karun

مجھے بتوںسے  اجازت اگر کبھی مل جائے
تو شہر بھر کے خداؤں کو بے نقاب کروں

Us Aadmi Ko Bas Ek Dhun Sawar Rahti Hai
Bahut Hasin Hai Duniya Ise Kharab Karun

اس آدمی کو بس اک دھن سوار رہتی ہے
بہت حسیں ہے یہ دنیا اسے خراب کروں

Hai Mere Chaaron Taraf Bhid Gunge Bahron Ki
Kise Khatib Banaun Kise Khitab Karun

ہے میرے چاروں طرف بھیڑ گونگے بہروں کی
کسے خطیب بناؤں کسے خطاب کروں

Main Karwaton Ke Naye Zaiqe Likhun Shab-Bhar
Ye Ishq Hai To Kahan Zindagi Azab Karun

میں کروٹوں کے نئے زاویے لکھوں شب بھر
یہ عشق ہے تو کہاں زندگی عذاب کروں

Ye Zindagi Jo Mujhe Qarz-Dar Karti Rahi
Kahin Akele Mein Mil Jaye To Hisab Karun

یہ زندگی جو مجھے قرض دار کرتی ہے
کہیں اکیلے میں مل جائے تو حساب کروں

 

Wo Ek Ek Baat Pe Rone Laga Tha – Rahat Indori
Phirte Hain Ab Bhi Dil Ko Garebaan Kiye Hue – Ahmad Faraz
Kehna Ghalat Ghalat To Chhupana Sahi Sahi – [Nfak Lyrics]

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *