
Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain
Rahat Indori Poetry
Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain
Aur Hum Kuch Nahi Karte Hain Ghazab Karte Hain
Aap Ki Nazron Mein Sooraj Ki Hai Jitni Azmat
Hum Chiraaghon Ka Bhi Utna Hi Adab Karte Hain
Hum Pe Haakim Ka Koi Hukm Nahi Chalta Hai
Hum Qalandar Hain Shehanshah Laqab Karte Hain
Dekhiye Jis Ko Usay Dhun Hai Masihai Ki
Aaj Kal Sheher Ke Beemaar Matab Karte Hain
Khud Ko Pathar Sa Bana Rakha Hai Kuch Logon Ne
Bol Sakte Hain Magar Baat Hi Kab Karte Hain
Ek Ek Pal Ko Kitaabon Ki Tarah Parhne Lage
Umar Bhar Jo Na Kiya Hum Ne Wo Ab Karte Hain
کام سب غیر ضروری ہیں جو سب کرتے ہیں
اور ہم کچھ نہیں کرتے ہیں غضب کرتے ہیں
آپ کی نظروں میں سورج کی ہے جتنی عظمت
ہم چراغوں کا بھی اتنا ہی ادب کرتے ہیں
ہم پہ حاکم کا کوئی حکم نہیں چلتا ہے
ہم قلندر ہیں شہنشاہ لقب کرتے ہیں
دیکھیے جس کو اسے دھن ہے مسیحائی کی
آج کل شہر کے بیمار مطب کرتے ہیں
خود کو پتھر سا بنا رکھا ہے کچھ لوگوں نے
بول سکتے ہیں مگر بات ہی کب کرتے ہیں
ایک اک پل کو کتابوں کی طرح پڑھنے لگے
عمر بھر جو نہ کیا ہم نے وہ اب کرتے ہیں
Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun – Rahat Indori
Mere Bachpan Ke Din Kitne Achay Thay Din (Lyrics)
Main Jo Shayar Kabhi Hota Tera Sehra Kehta (Lyrics)