Rahat Indori

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye – Rahat Indori Poetry

دوستی جب کسی سے کی جائے دشمنوں کی بھی رائے لی جائے

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye 

Rahat Indori Poetry

 

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye
Dushmanon Ki Bhi Raye Li Jaye

Maut Ka Zehar Hai Fazaon Mein
Ab Kahan Ja Ke Saans Li Jaye

Bas Isi Soch Mein Hoon Dooba Hua
Yeh Nadi Kaise Paar Ki Jaye

Agle Waqton Ke Zakhm Bharne Lage
Aaj Phir Koi Bhool Ki Jaye

Lafz Dharti Pe Sar Patakte Hain
Gunbadon Mein Sada Na Di Jaye

Keh Do Is Ehad Ke Buzurgon Se
Zindagi Ki Dua Na Di Jaye

Botalen Khol Ke To Pee Barson
Aaj Dil Khol Kar Hi Pee Jaye

دوستی جب کسی سے کی جائے
دشمنوں کی بھی رائے لی جائے

موت کا زہر ہے فضاؤں میں
اب کہاں جا کے سانس لی جائے

بس اسی سوچ میں ہوں ڈوبا ہوا
یہ ندی کیسے پار کی جائے

اگلے وقتوں کے زخم بھرنے لگے
آج پھر کوئی بھول کی جائے

لفظ دھرتی پہ سر پٹکتے ہیں
گنبدوں میں صدا نہ دی جائے

کہہ دو اس عہد کے بزرگوں سے
زندگی کی دعا نہ دی جائے

بوتلیں کھول کے تو پی برسوں
آج دل کھول کر ہی پی جائے

 

Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain – Rahat Indori
Meri Dastaan-e-Hasrat Woh Suna Suna Ke Roye – Urdu Poetry
Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun – Rahat Indori

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *