
Dilon Mein Aag, Labon Par Gulab Rakhte Hain
Rahat Indori Poetry
Dilon Mein Aag, Labon Par Gulab Rakhte Hain
Sab Apne Chehron Pe Dohri Naqaab Rakhte Hain
Humein Chiraagh Samajh Kar Bujha Na Paao Gay
Hum Apne Ghar Mein Kai Aftaab Rakhte Hain
Bohat Se Log Jo Harf Aashna Bhi Nahin
Isi Mein Khush Hain Ke Teri Kitaab Rakhte Hain
Yeh Mai-Kadah Hai, Woh Masjid Hai, Woh Hai But Khanah
Kahin Bhi Jao, Farishte Hisaab Rakhte Hain
Humare Shehar Ke Manzar Na Dekh Paayein Ge
Yahan Ke Log To Aankhon Mein Khwab Rakhte Hain
دلوں میں آگ لبوں پر گلاب رکھتے ہیں
سب اپنے چہروں پہ دوہری نقاب رکھتے ہیں
ہمیں چراغ سمجھ کر بجھا نہ پاؤ گے
ہم اپنے گھر میں کئی آفتاب رکھتے ہیں
بہت سے لوگ کہ جو حرف آشنا بھی نہیں
اسی میں خوش ہیں کہ تیری کتاب رکھتے ہیں
یہ مے کدہ ہے وہ مسجد ہے وہ ہے بت خانہ
کہیں بھی جاؤ فرشتے حساب رکھتے ہیں
ہمارے شہر کے منظر نہ دیکھ پائیں گے
یہاں کے لوگ تو آنکھوں میں خواب رکھتے ہیں
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye – Rahat Indori Poetry
Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain
Rafaqaton Mein Peshimaniyan To Hoti Hain – Ahmad Faraz
Jab Tera Hukm Mila Tark-E-Mohabbat Kar Di – Urdu Shayari