Rahat Indori

Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakoon – Rahat

Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakoon 

Rahat Indori Poetry

Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakoon
Aise Ziddi Hain Parinday Ke Ura Bhi Na Sakoon

Phoonk Daaloon Ga Kisi Roz Mein Dil Ki Duniya
Yeh Tera Khat To Nahin Hai Ke Jala Bhi Na Sakoon

Meri Ghairat Bhi Koi Shay Hai Ke Mehfil Mein Mujhe
Us Ne Is Tarah Bulaya Hai Ke Ja Bhi Na Sakoon

Phal To Sab Mere Darakhton Ke Pakay Hain Lekin
Itni Kamzor Hain Shaakhein Ke Hila Bhi Na Sakoon

Ik Na Ik Roz Kahin Dhoond Hi Loon Ga Tujh Ko
Thokrein Zeher Nahin Hain Ke Main Kha Bhi Na Sakoon

اجنبی خواہشیں سینے میں دبا بھی نہ سکوں
ایسے ضدی ہیں پرندے کہ اڑا بھی نہ سکوں

پھونک ڈالوں گا کسی روز میں دل کی دنیا
یہ ترا خط تو نہیں ہے کہ جلا بھی نہ سکوں

مری غیرت بھی کوئی شے ہے کہ محفل میں مجھے
اس نے اس طرح بلایا ہے کہ جا بھی نہ سکوں

پھل تو سب میرے درختوں کے پکے ہیں لیکن
اتنی کمزور ہیں شاخیں کہ ہلا بھی نہ سکوں

اک نہ اک روز کہیں ڈھونڈ ہی لوں گا تجھ کو
ٹھوکریں زہر نہیں ہیں کہ میں کھا بھی نہ سکوں

 

Rafaqaton Mein Peshimaniyan To Hoti Hain – Ahmad Faraz
Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinaare Ho Bhi Sakta Hai – Ghazal
Dil Gaya Tum Ne Liya Hum Kya Karein – Noor Jahan

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *