
Haath Khaali Hain Tere Sheher Se Jaate Jaate
Rahat Indori Poetry
Haath Khaali Hain Tere Sheher Se Jaate Jaate
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutaate Jaate
Ab To Har Haath Ka Patthar Humein Pehchaanta Hai
Umar Guzri Hai Tere Sheher Mein Aate Jaate
Ab Ke Mayoos Hua Yaaron Ko Rukhsat Kar Ke
Ja Rahe The To Koi Zakhm Lagaate Jaate
Reengne Ki Bhi Ijaazat Nahin Hum Ko Warna
Hum Jidhar Jaate Naye Phool Khilaate Jaate
Main To Jalti Hue Sehraon Ka Ek Patthar Tha
Tum To Darya The Meri Pyaas Bujhaate Jaate
Mujh Ko Rone Ka Saleeqa Bhi Nahin Hai Shaayad
Log Hanste Hain Mujhe Dekh Ke Aate Jaate
Hum Se Pehle Bhi Musafir Kai Guzre Honge
Kam Se Kam Raah Ke Patthar To Hataate Jaate
ہاتھ خالی ہیں ترے شہر سے جاتے جاتے
جان ہوتی تو مری جان لٹاتے جاتے
اب تو ہر ہاتھ کا پتھر ہمیں پہچانتا ہے
عمر گزری ہے ترے شہر میں آتے جاتے
اب کے مایوس ہوا یاروں کو رخصت کر کے
جا رہے تھے تو کوئی زخم لگاتے جاتے
رینگنے کی بھی اجازت نہیں ہم کو ورنہ
ہم جدھر جاتے نئے پھول کھلاتے جاتے
میں تو جلتے ہوئے صحراؤں کا اک پتھر تھا
تم تو دریا تھے مری پیاس بجھاتے جاتے
مجھ کو رونے کا سلیقہ بھی نہیں ہے شاید
لوگ ہنستے ہیں مجھے دیکھ کے آتے جاتے
ہم سے پہلے بھی مسافر کئی گزرے ہوں گے
کم سے کم راہ کے پتھر تو ہٹاتے جاتے
Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain – Rahat Indori
Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun – Rahat Indori
Abhi to Main Jawan Hoon (Full Lyrics)