
Bechain Bohat Phirna, Ghabraaye Hue Rehna
Munir Niazi Poetry
Bechain Bohat Phirna, Ghabraaye Hue Rehna
Ik Aag Si Jazbon Ki Dehkaaye Hue Rehna
Chhilkaaye Hue Chalna Khushboo Lab-e-Laalein Ki
Ik Bagh Sa Saath Apne Mehakaaye Hue Rehna
Is Husn Ka Shewa Hai Jab Ishq Nazar Aaye
Parday Mein Chalay Jaana, Sharmaye Hue Rehna
Ik Shaam Si Kar Rakhna Kajal Ke Karishmay Se
Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaye Hue Rehna
Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne To Muneer Apni
Jis Shehar Mein Bhi Rehna, Uktaye Hue Rehna
بے چین بہت پھرنا گھبرائے ہوئے رہنا
اک آگ سی جذبوں کی دہکائے ہوئے رہنا
چھلکائے ہوئے چلنا خوشبو لب لعلیں کی
اک باغ سا ساتھ اپنے مہکائے ہوئے رہنا
اس حسن کا شیوہ ہے جب عشق نظر آئے
پردے میں چلے جانا شرمائے ہوئے رہنا
اک شام سی کر رکھنا کاجل کے کرشمے سے
اک چاند سا آنکھوں میں چمکائے ہوئے رہنا
عادت ہی بنا لی ہے تم نے تو منیرؔ اپنی
جس شہر میں بھی رہنا اکتائے ہوئے رہنا
Bheed Mein Aik Shaks Ko Sab Hi Say Hat K Daikhna
Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak Pahunchun – Urdu Shayari
Meri Dastaan-e-Hasrat Woh Suna Suna Ke Roye – Urdu Poetry