
Shab Basar Karni Hai, Mehfooz Thikaana Hai Koi?
Shab Basar Karni Hai, Mehfooz Thikaana Hai Koi?
Koi Jungle Hai Yahan Paas Mein? Sehra Hai Koi?
Waise Socha Tha Mohabbat Nahin Karni Main Ne
Is Liye Ki Ke Kabhi Pooch Hi Leta Hai Koi
Aap Ki Aankhen To Selaab Zada Khittay Hain
Aap Ke Dil Ki Taraf Doosra Rasta Hai Koi?
Jaanta Hoon Ke Tujhe Saath To Rakhte Hain Kai
Poochna Tha Ke Tera Dhyaan Bhi Rakhta Hai Koi?
Dukh Mujhe Us Ka Nahin Hai Ke Dukhi Hai Wo Shakhs
Dukh To Ye Hai Ke Sabab Mere Ilawa Hai Koi
Do Minute Baith, Main Bas Aaine Tak Ho Aaoon
Us Mein Is Waqt Mujhe Dekhne Aata Hai Koi
Khauf Bola: “Koi Hai? Jis Ko Bulaana Hai, Bula!”
Der Tak Soch Ke Main Zor Se Cheekha: “Hai Koi??”
شب بسر کرنی ہے، محفوظ ٹھکانہ ہے کوئی ؟
کوئی جنگل ہے یہاں پاس میں؟ صحرا ہے کوئی؟
ویسے سوچا تھا محبت نہیں کرنی میں نے
اس لئے کی کہ کبھی پوچھ ہی لیتا ہے کوئی
آپ کی آنکھیں تو سیلاب زدہ خطے ہیں
آپ کے دل کی طرف دوسرا رستہ ہے کوئی؟
جانتا ہوں کہ تجھے ساتھ تو رکھتے ہیں کئی
پوچھنا تھا کہ ترا دھیان بھی رکھتا ہے کوئی؟
دکھ مجھے اس کا نہیں ہے کہ دکھی ہے وہ شخص
دکھ تو یہ ہے کہ سبب میرے علاوہ ہے کوئی
دو منٹ بیٹھ، میں بس آئینے تک ہو آؤں
اُس میں اِس وقت مجھے دیکھنے آتا ہے کوئی
خوف بولا: “کوئی ہے؟ جس کو بُلانا ہے، بُلا!”
دیر تک سوچ کے میں زور سے چیخا: ” ہے کوئی؟؟”
جناب عمیر نجمی
Bechain Bohat Phirna, Ghabraaye Hue Rehna – Munir Niazi
Main Jo Shayar Kabhi Hota Tera Sehra Kehta (Lyrics)