
Manzilen Laakh Kathin Aayeen Guzar Jaoon Ga
منزلیں لاکھ کٹھن آئیں گزر جاؤں گا
حوصلہ ہار کے بیٹھوں گا تو مر جاؤں گا
چل رہے تھے جو میرے ساتھ کہاں ہیں وہ لوگ
جو یہ کہتے تھے کہ رستے میں بکھر جاؤں گا
در بدر ہونے سے پہلے کبھی سوچا بھی نہ تھا
گھر مجھے راس نہ آیا تو کدھر جاؤں گا
یاد رکھے مجھے دنیا تری تصویر کے ساتھ
رنگ ایسے تری تصویر میں بھر جاؤں گا
لاکھ روکیں یہ اندھیرے مرا رستہ لیکن
میں جدھر روشنی جائے گی ادھر جاؤں گا
راس آئی نہ محبت مجھے ورنہ ساقیؔ
میں نے سوچا تھا کہ ہر دل میں اتر جاؤں گا
ساقی امروہوی
Manzilen Laakh Kathin Aayeen Guzar Jaoon Ga
Hosla Haar Ke Baithoon Ga To Mar Jaoon Ga
Chal Rahe Thay Jo Mere Saath Kahan Hain Wo Log
Jo Yeh Kehte Thay Ke Raste Mein Bikhar Jaoon Ga
Dar Badar Hone Se Pehle Kabhi Socha Bhi Na Tha
Ghar Mujhe Raas Na Aaya To Kidhar Jaoon Ga
Yaad Rakhe Mujhe Duniya Teri Tasveer Ke Saath
Rang Aise Teri Tasveer Mein Bhar Jaoon Ga
Laakh Rokein Yeh Andhere Mera Rasta Lekin
Main Jidhar Roshni Jaye Gi Udhar Jaoon Ga
Raas Aayi Na Mohabbat Mujhe Warna Saqi
Main Ne Socha Tha Ke Har Dil Mein Utar Jaoon Ga
Kat Hi Gayi Judaai Bhi, Kab Ye Hua Ke Mar Gaye
Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak Pahunchun – Urdu Shayari
Kahin Akele Mein Mil Kar Jhanjhod Doon Ga Use – Rahat Indori