Sad Poetry

Yeh Hijr Kya Hai, Visaal Kya Hai – Urdu Poetry

 

یہ ہجر کیا ہے وصال کیا ہے

یہ حسن کیا ہے ، جمال کیا ہے

میں کب سے بیٹھا ہوں لے کے کاسہ

کبھی تو پوچھو سوال کیا ہے

اگر میسر ہو ساتھ تیرا

تو کیسی غربت زوال کیا ہے

جو دور گھر سے ہیں ان سے پوچھو

یہ روز و شب ماہ و سال کیا ہے

یہ زندگی ہی کٹھن ہے سب سے

سوائے اس کے ُمحال کیا ہے

ہو یار کا تزکرہ نہ جس میں

غزل وہ کیسی خیال کیا ہے

رخِ صنم سے پِھرے یہ باسط

مری نظر کی مجال کیا ہے۔

Yeh Hijr Kya Hai, Wisaal Kya Hai
Yeh Husn Kya Hai, Jamaal Kya Hai

Main Kab Se Baitha Hoon Le Ke Kaasa
Kabhi To Poochho, Sawaal Kya Hai

Agar Mayassar Ho Saath Tera
To Kaisi Ghurabat, Zawaal Kya Hai

Jo Door Ghar Se Hain, Un Se Poochho
Yeh Roz-o-Shab, Maah-o-Saal Kya Hai

Yeh Zindagi Hi Kathin Hai Sab Se
Siwaaye Is Ke, Muhaal Kya Hai

Ho Yaar Ka Zikr Na Jis Mein
Ghazal Woh Kaisi, Khayaal Kya Hai

Rukh-e-Sanam Se Phire Yeh Basit
Meri Nazar Ki Jamaal Kya Hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *