
Ata Jise Tera Aks-e Jamal Hota Hai
Saghar Siddiqui
Ata Jise Tera Aks-e Jamal Hota Hai
Woh Phool Saare Gulistan Ka Laal Hota Hai
Rahein Majaz Mein Hain Manzilen Haqiqat Ki
Magar Ye Ahl-e Nazar Ka Khayal Hota Hai
Talash Karti Hai Saya Tumhare Aanchal Ka
Chaman Mein Baad-e Saba Ka Ye Haal Hota Hai
Bahar-e Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Us Ke Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
Ye Wardaat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Masarraton Mein Bhi Hum Ko Malaal Hota Hai
Ye Bikhre Bikhre Se Gaisu, Thaki Thaki Aankhein
Ke Jaise Koi Gulistan Nidhhaal Hota Hai
Jawab De Na Sake Jis Ka Do Jahan Saagar
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawal Hota Hai
عطا جسے تیرا عکس جمال ہوتا ہے
وہ پھول سارے گلستاں کا لال ہوتا ہے
راہیں مجاز میں ہیں منزلیں حقیقت کی
مگر یہ اہل نظر کا خیال ہوتا ہے
تلاش کرتی ہے سایہ تمھارے آنچل کا
چمن میں باد صبا کا یہ حال ہوتا ہے
بہارے فطرت صیاد کی کہانی ہے
کہ اس کے دوش پہ پھولوں کا جال ہوتا ہے
یہ واردات بھی اب دل پہ روز ہوتی ہے
مسرتوں میں بھی ہم کو ملال ہوتا ہے
یہ بکھرے بکھرے سے گیسو، تھکی تھکی آنکھیں
کہ جیسے کوئی گلستاں نڈھال ہوتا ہے
جواب دے نہ سکے جس کا دوجہاں ساغر
کسی غریب کے دل کا سوال ہوتا ہے
Mehfilain Lut Gain Jazbaat Ne Dam Tor Diya
Ae Husn-e-Lala Faam! Zara Aankh To Mila




