Urdu Poetry (Misc)

Baithay Hain Chain Se, Kahin Jaana To Hai Nahin

Baithay Hain Chain Se, Kahin Jaana To Hai Nahin

 

Poet: Rehman Faris

Baithay Hain Chain Se, Kahin Jaana To Hai Nahin
Hum Be Gharon Ka Koi Thikaana To Hai Nahin

Tum Bhi Ho Beete Waqt Ki Manind Hu Bahu
Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Aana To Hai Nahin

Ahd-e-Wafa Se Kis Liye Khaif Ho, Meri Jaan!
Kar Lo Ke Tum Ne Ahd Nibhaana To Hai Nahin

Woh Jo Humein Azeez Hai, Kaisa Hai, Kaun Hai
Kyun Poochte Ho, Hum Ne Bataana To Hai Nahin

Duniya! Hum Ahl-e-Ishq Hain, Kyun Phenkhti Hai Jaal
Hum Ne Tere Fareb Mein Aana To Hai Nahin

Koshish Karein To Laut Hi Aaye Ga Ek Din
Woh Aadmi Hai, Guzra Zamana To Hai Nahin

Woh Ishq To Kare Ga Magar Dekh Bhaal Ke
Faris Woh Tere Jaisa Diwana To Hai Nahin

 

بیٹھے ہیں چَین سے، کہیں جانا تو ہے نہیں
ہم بے گھروں کا کوئی ٹھکانا تو ہے نہیں
تٗم بھی ہو بیتے وقت کی مانند ہُو بُہو
تُم نے بھی یاد آنا ہے، آنا تو ہے نہیں
عہدِ وفا سے کس لئے خائف ہو، میری جان!
کرلوکہ تٗم نے عہد نبھانا تو ہے نہیں
وہ جو ہمیں عزیز ہے، کیسا ہے، کون ہے
کیوں پوچھتے ہو، ہم نے بتانا تو ہے نہیں
دُنیا! ہم اہلِ عشق ہیں، کیوں پھینکتی ہے جال
ہم نے ترے فریب میں آنا تو ہے نہیں
کوشش کریں تو لَوٹ ہی آئے گا ایک دن
وہ آدمی ہے، گذرا زمانہ تو ہے نہیں
وہ عشق تو کرے گا مگر دیکھ بھال کے
فارس وہ تیرے جیسا دِوانہ تو ہے نہیں

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *