Mohsin Naqvi

Mohsin Naqvi – Phir Wohi Main Hoon Wohi Shehar Badar Sannata

Phir Wohi Main Hoon Wohi Shehar Badar Sannata

Mohsin Naqvi Poetry

Phir Wohi Main Hoon Wohi Shehar Badar Sannata
Mujh Ko Das Le Na Kahin Khaak Basar Sannata

Dasht-e-Hasti Mein Shab-e-Gham Ki Sehar Karne Ko
Hijr Walon Ne Liya Rakht-e-Safar Sannata

Kis Se Poochun Ke Kahaan Hai Mera Rone Wala
Is Taraf Main Hoon Mere Ghar Se Idhar Sannata

Tu Sadaon Ke Bhanwar Mein Mujhe Awaaz To De
Tujh Ko De Ga Mere Hone Ki Khabar Sannata

Us Ko Hangama-e-Manzil Ki Khabar Kya Doge
Jis Ne Paaya Ho Sar-e-Raah Guzar Sannata

Haasil-e-Kunj-e-Qafas, Wahm-Bakaf Tanhaai
Ronaq-e-Shaam-e-Safar Ta Ba Sehar Sannata

Qismat-e-Shaair, Seemaab-Sifat Dasht Ki Maut
Qeemat-e-Reezah-e-Almaas, Hunar Sannata

Jaan Mohsin Meri Taqdeer Mein Kab Likha Hai
Doobta Chaand Tera Qurb-e-Ghajar Sannata

پھر وہی میں ہوں وہی شہر بدر سناٹا
مجھ کو ڈس لے نہ کہیں خاک بسر سناٹا

دشت ہستی میں شب غم کی سحر کرنے کو
ہجر والوں نے لیا رخت سفر سناٹا

کس سے پوچھوں کہ کہاں ہے مرا رونے والا
اس طرف میں ہوں مرے گھر سے ادھر سناٹا

تو صداؤں کے بھنور میں مجھے آواز تو دے
تجھ کو دے گا مرے ہونے کی خبر سناٹا

اس کو ہنگامۂ منزل کی خبر کیا دو گے
جس نے پایا ہو سر راہ گزر سناٹا

حاصل کنج قفس وہم بکف تنہائی
رونق شام سفر تا بہ سحر سناٹا

قسمت شاعر سیماب صفت دشت کی موت
قیمت ریزۂ الماس ہنر سناٹا

جان محسنؔ مری تقدیر میں کب لکھا ہے
ڈوبتا چاند ترا قرب گجر سناٹا

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *