Faiz Ahmad Faiz

Be Dam Huye Beemaar Dawa Kyun Nahin Dete – Faiz

Be Dam Huye Beemaar Dawa Kyun Nahin Dete

Faiz Ahmed Faiz Poetry

Be Dam Huye Beemaar Dawa Kyun Nahin Dete
Tum Achay Masiha Ho Shifa Kyun Nahin Dete

Dard-e-Shab-e-Hijran Ki Jaza Kyun Nahin Dete
Khoon-e-Dil-e-Wahshi Ka Sila Kyun Nahin Dete

Haan Nukta-e-Warolao Lab-o-Dil Ki Gawahi
Haan Naghma Gar-o-Saaz Sada Kyun Nahin Dete

Mit Jaye Gi Makhlooq To Insaaf Karoge
Munsif Ho To Ab Hashr Uthaa Kyun Nahin Dete

Paiman-e-Junoon Haathon Ko Sharmaye Ga Kab Tak
Dil Walo Girebaan Ka Pata Kyun Nahin Dete

Barbaadi-e-Dil Jabr Nahin Faiz Kisi Ka
Woh Dushman-e-Jaan Hai To Bhula Kyun Nahin Dete

بے دم ہوئے بیمار دوا کیوں‌نہیں ‌دیتے
تم اچھے مسیحا ہو شفا کیوں‌نہیں ‌دیتے

دردِ شبِ ہجراں‌کی جزا کیوں‌ نہیں دیتے
خونِ دلِ وحشی کا صلہ کیوں ‌نہیں دیتے

ہاں ‌نکتئہ ورولاؤ لب و دل کی گواہی
ہاں‌نغمہ گروساز‌صدا کیوں‌نہیں‌دیتے

مِٹ‌جائے گی مخلوق تو انصاف کرو گے
منصف ہو تو اب حشر اُٹھا کیوں‌نہیں‌دیتے

پیمانِ جنوں‌ہاتھوں‌کو شرمائے گا کب تک
دل والو گریباں‌کا پتہ کیوں‌نہیں‌دیتے

بربادئ دل جبر نہیں‌فیضؔ‌کسی کا
وہ دشمنِ جاں‌ہے تو بُھلا کیوں‌نہیں‌دیتے

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *