Urdu Poetry (Misc)

Is Umeed Pe Roz Charagh Jalate Hain – Zahra Nigah

Is Umeed Pe Roz Charagh Jalate Hain

Poet: Zahra Nigah

 

Is Umeed Pe Roz Charagh Jalate Hain
Aane Wale Barson Baad Bhi Aate Hain

Hum Ne Jis Raste Par Us Ko Chhoda Hai
Phool Abhi Tak Us Par Khilte Jate Hain

Din Mein Kirnein Aankh Macholi Khelti Hain
Raat Gaye Kuch Jugnu Milne Jate Hain

Dekhte Dekhte Ik Ghar Ke Rehne Wale
Apne Apne Khano Mein Bat Jate Hain

Dekho To Lagta Hai Jaise Dekha Tha
Socho To Phir Naam Nahi Yaad Aate Hain

Kaisi Achi Baat Hai Zahra Tera Naam
Bachay Apne Bachon Ko Batlate Hain

اس امید پہ روز چراغ جلاتے ہیں
آنے والے برسوں بعد بھی آتے ہیں

ہم نے جس رستے پر اس کو چھوڑا ہے
پھول ابھی تک اس پر کھلتے جاتے ہیں

دن میں کرنیں آنکھ مچولی کھیلتی ہیں
رات گئے کچھ جگنو ملنے جاتے ہیں

دیکھتے دیکھتے اک گھر کے رہنے والے
اپنے اپنے خانوں میں بٹ جاتے ہیں

دیکھو تو لگتا ہے جیسے دیکھا تھا
سوچو تو پھر نام نہیں یاد آتے ہیں

کیسی اچھی بات ہے زہرہؔ تیرا نام
بچے اپنے بچوں کو بتلاتے ہیں

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *