Lyrics

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha – Full Poetry Lyrics

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha

Poet: Momin Khan Momin

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
Wohi Yani Wada Nibah Ka, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Woh Jo Lutf Mujh Pe Thay Besh-tar, Woh Karam Ke Tha Mere Haal Par
Mujhe Sab Hai Yaad Zara Zara, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Woh Nae Gile Woh Shikayatein, Woh Maze Maze Ki Hikayatein
Woh Har Ek Baat Pe Roothna, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Kabhi Bethay Sab Mein Jo Rubru, Toh Ishaaraton Hi Se Guftagu
Woh Bayaan Shauq Ka Barmila, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Hue Ittifaq Se Gar Baham, Toh Wafa Jatane Ko Dam Ba Dam
Gila Malamat-e-Aqraba, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Koi Baat Aisi Agar Hui, Ke Tumhare Ji Ko Buri Lagi
Toh Bayaan Se Pehle Hi Bhoolna, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chaah Thi, Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Bhi Thay Aashna, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Suno Zikr Hai Kai Saal Ka, Ke Kya Ek Aap Ne Wada Tha
So Nibahne Ka Toh Zikr Kya, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Kaha Main Ne Baat Woh Kothay Ki, Mere Dil Se Saaf Utar Gayi
Toh Kaha Ke Jaane Meri Bala, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Woh Bigarna Wasl Ki Raat Ka, Woh Na Maanna Kisi Baat Ka
Woh Nahi Nahi Ki Har Aan Ada, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Jise Aap Ginte Thay Aashna, Jise Aap Kehte Thay Ba-Wafa
Main Wohi Hoon Momin Mubtala, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

وہ جو ہم میں تم میں قرار تھا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو
وہی یعنی وعدہ نباہ کا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ جو لطف مجھ پہ تھے بیشتر وہ کرم کہ تھا مرے حال پر
مجھے سب ہے یاد ذرا ذرا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ نئے گلے وہ شکایتیں وہ مزے مزے کی حکایتیں
وہ ہر ایک بات پہ روٹھنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کبھی بیٹھے سب میں جو روبرو تو اشارتوں ہی سے گفتگو
وہ بیان شوق کا برملا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

ہوئے اتفاق سے گر بہم تو وفا جتانے کو دم بہ دم
گلۂ ملامت اقربا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کوئی بات ایسی اگر ہوئی کہ تمہارے جی کو بری لگی
تو بیاں سے پہلے ہی بھولنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کبھی ہم میں تم میں بھی چاہ تھی کبھی ہم سے تم سے بھی راہ تھی
کبھی ہم بھی تم بھی تھے آشنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

سنو ذکر ہے کئی سال کا کہ کیا اک آپ نے وعدہ تھا
سو نباہنے کا تو ذکر کیا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کہا میں نے بات وہ کوٹھے کی مرے دل سے صاف اتر گئی
تو کہا کہ جانے مری بلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ بگڑنا وصل کی رات کا وہ نہ ماننا کسی بات کا
وہ نہیں نہیں کی ہر آن ادا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

جسے آپ گنتے تھے آشنا جسے آپ کہتے تھے با وفا
میں وہی ہوں مومنؔ مبتلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *