
Us Simt Mujh Ko Yaar Ne Jaane Nahin Diya
Munir Niazi Poetry
Us Simt Mujh Ko Yaar Ne Jaane Nahin Diya
Ek Aur Shehar Yaar Mein Aane Nahin Diya
Kuch Waqt Chahte The Ke Sochein Tere Liye
Tu Ne Woh Waqt Hum Ko Zamaane Nahin Diya
Manzil Hai Is Mehak Ki Kahaan Kis Chaman Mein Hai
Us Ka Pata Safar Mein Hawa Ne Nahin Diya
Roka Ana Ne Kawish-E-Be-Sood Se Mujhe
Us But Ko Apna Haal Sunane Nahin Diya
Hai Jis Ke Baad Ahd-E-Zawaal Aashna, Muneer
Itna Kamaal Hum Ko Khuda Ne Nahin Diya
Us Simt Mujh Ko Yaar Ne Jaane Nahin Diya (Poetry in Urdu)
اس سمت مجھ کو یار نے جانے نہیں دیا
اک اور شہر یار میں آنے نہیں دیا
کچھ وقت چاہتے تھے کہ سوچیں ترے لیے
تو نے وہ وقت ہم کو زمانے نہیں دیا
منزل ہے اس مہک کی کہاں کس چمن میں ہے
اس کا پتہ سفر میں ہوا نے نہیں دیا
روکا انا نے کاوش بے سود سے مجھے
اس بت کو اپنا حال سنانے نہیں دیا
ہے جس کے بعد عہد زوال آشنا منیرؔ
اتنا کمال ہم کو خدا نے نہیں دیا