
Kuch To Ehsas-e-Ziyaan Tha Pehle – Lyrics
Poet: Nasir Kazmi
Kuch To Ehsas-e-Ziyaan Tha Pehle
Dil Ka Yeh Haal Kahaan Tha Pehle
Ab To Jhonke Se Laraz Uthta Hoon
Nasha-e-Khwaab-e-Giran Tha Pehle
Ab To Manzil Bhi Hai Khud Garam-e-Safar
Har Qadam Sang Nishaan Tha Pehle
Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Poochh
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Pehle
Yeh Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andesha-e-Jaan Tha Pehle
Yoon Na Ghabraaye Huye Phirte The
Dil Ajab Kunj-e-Ammaan Tha Pehle
Ab Bhi To Paas Nahin Hai Lekin
Is Qadar Door Kahaan Tha Pehle
Daire Daale Hain Bagolon Ne Jahan
Us Taraf Chashma-e-Rawaan Tha Pehle
Ab Woh Darya Na Woh Basti, Na Woh Log
Kya Khabar Kaun Kahaan Tha Pehle
Har Kharaaba Yeh Sada Deta Hai
Main Bhi Aabaad Makaan Tha Pehle
Urr Gaye Shaakh Se Yeh Keh Ke Tayoor
Sarv Ek Shokh Jawaan Tha Pehle
Kya Se Kya Ho Gayi Duniya Pyare
Tu Waheen Par Hai Jahan Tha Pehle
Hum Ne Aabaad Kiya Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa’n Tha Pehle
Hum Ne Bakhshi Hai Khamoshi Ko Zabaan
Dard Majboor Faghaa’n Tha Pehle
Hum Ne Ijaad Kiya Teesha-e-Ashk
Shola Pathar Mein Nihaan Tha Pehle
Hum Ne Roshan Kiya Maamoorah-e-Gham
Warna Har Simt Dhuaan Tha Pehle
Hum Ne Mehfooz Kiya Husn-e-Bahaar
Itr-e-Gul Sirf Khizaan Tha Pehle
Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya Nasir
Khaana Barbaad Kahaan Tha Pehle
کچھ تو احساس زیاں تھا پہلے
دل کا یہ حال کہاں تھا پہلے
اب تو جھونکے سے لرز اٹھتا ہوں
نشۂ خواب گراں تھا پہلے
اب تو منزل بھی ہے خود گرم سفر
ہر قدم سنگ نشاں تھا پہلے
سفر شوق کے فرسنگ نہ پوچھ
وقت بے قید مکاں تھا پہلے
یہ الگ بات کہ غم راس ہے اب
اس میں اندیشۂ جاں تھا پہلے
یوں نہ گھبرائے ہوئے پھرتے تھے
دل عجب کنج اماں تھا پہلے
اب بھی تو پاس نہیں ہے لیکن
اس قدر دور کہاں تھا پہلے
ڈیرے ڈالے ہیں بگولوں نے جہاں
اس طرف چشمہ رواں تھا پہلے
اب وہ دریا نہ وہ بستی، نہ وہ لوگ
کیا خبر کون کہاں تھا پہلے
ہر خرابہ یہ صدا دیتا ہے
میں بھی آباد مکاں تھا پہلے
اڑ گئے شاخ سے یہ کہہ کے طیور
سرو اک شوخ جواں تھا پہلے
کیا سے کیا ہو گئی دنیا پیارے
تو وہیں پر ہے جہاں تھا پہلے
ہم نے آباد کیا ملک سخن
کیسا سنسان سماں تھا پہلے
ہم نے بخشی ہے خموشی کو زباں
درد مجبور فغاں تھا پہلے
ہم نے ایجاد کیا تیشۂ اشک
شعلہ پتھر میں نہاں تھا پہلے
ہم نے روشن کیا معمورۂ غم
ورنہ ہر سمت دھواں تھا پہلے
ہم نے محفوظ کیا حسن بہار
عطر گل صرف خزاں تھا پہلے
غم نے پھر دل کو جگایا ناصرؔ
خانہ برباد کہاں تھا پہلے