
Thi Jis Ki Justuju Woh Haqiqat Nahi Mili
Munir Niazi Poetry
Thi Jis Ki Justuju Woh Haqiqat Nahi Mili
In Bastiyon Mein Hum Ko Rafiqat Nahi Mili
Ab Tak Hain Is Gumaan Mein Ke Hum Bhi Hain Dehr Mein
Is Wahm Se Nijaat Ki Soorat Nahi Mili
Rehna Tha Us Ke Saath Bohat Der Tak Magar
In Roz-o-Shab Mein Mujh Ko Yeh Fursat Nahi Mili
Kehna Tha Jis Ko Us Se Kisi Waqt Mein Mujhe
Is Baat Ke Kalaam Ki Mohlat Nahi Mili
Kuch Din Ke Baad Us Se Juda Ho Gaye Muneer
Us Be-Wafa Se Apni Tabi’at Nahi Mili
تھی جس کی جستجو وہ حقیقت نہیں ملی
ان بستیوں میں ہم کو رفاقت نہیں ملی
اب تک ہیں اس گماں میں کہ ہم بھی ہیں دہر میں
اس وہم سے نجات کی صورت نہیں ملی
رہنا تھا اس کے ساتھ بہت دیر تک مگر
ان روز و شب میں مجھ کو یہ فرصت نہیں ملی
کہنا تھا جس کو اس سے کسی وقت میں مجھے
اس بات کے کلام کی مہلت نہیں ملی
کچھ دن کے بعد اس سے جدا ہو گئے منیرؔ
اس بے وفا سے اپنی طبیعت نہیں ملی