Rahat Indori

Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke – Rahat Indori

Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke

Rahat Indori Poetry

Teri har baat mohabbat main gawara kar ke
Dil ke bazar main bethe hain khasara kar ke

Aate jaate hain kayi rang mere chehre par
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke

Ek chingari nazar ayi thi basti main usse
Woh alag hatt geya andhi ko ishara kar ke

Asmaanon ki taraf phenk diya hai main ne
Chand matti ke charaghon ko sitara kar ke

Main woh daryaa hoon ke har boond bhanwar hai jis ki
Tum ne acha hi kiya mujh se kinara kar ke

Muntazir hoon ke sitaron ki zara ankh lage
Chaand ko chhat pe bula loon ga ishara kar ke

تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کے – راحت اندوری

تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کے
دل کے بازار میں بیٹھے ہیں خسارہ کر کے

آتے جاتے ہیں کئی رنگ مرے چہرے پر
لوگ لیتے ہیں مزا ذکر تمہارا کر کے

ایک چنگاری نظر آئی تھی بستی میں اسے
وہ الگ ہٹ گیا آندھی کو اشارہ کر کے

آسمانوں کی طرف پھینک دیا ہے میں نے
چند مٹی کے چراغوں کو ستارہ کر کے

میں وہ دریا ہوں کہ ہر بوند بھنور ہے جس کی
تم نے اچھا ہی کیا مجھ سے کنارہ کر کے

منتظر ہوں کہ ستاروں کی ذرا آنکھ لگے
چاند کو چھت پر بلا لوں گا اشارہ کر کے

Read More:

Sirf Khanjar Hi Nahi Ankhon Mein Pani Chahiye – Rahat Indori Poetry
Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Banane Mein – Bashir Badr Poetry
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota – Mirza Ghalib Poetry
Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak | Mirza Ghalib

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *