
Kuch Iss Ada Se Aaj Woh Pehlu Nasheen Rahe
Poet: Jigar Muradabadi
Kuch Iss Ada Se Aaj Woh Pehlu Nasheen Rahe
Jab Tak Hamare Paas Rahe, Hum Nahin Rahe
Yaarab Kisi Ke Raaz-e-Mohabbat Ki Khair Ho
Dast-e-Junoon Rahe Na Rahe, Aasteen Rahe
Dard-e-Gham-e-Firaaq Ke Yeh Sakht Marhale
Hairaan Hoon Main Ke Phir Bhi Tum, Itne Haseen Rahe
Jaa Aur Koi Zabt Ki Duniya Talaash Kar
Ae Ishq! Hum To Ab Tere Qaabil Nahin Rahe
Allah Re Chashm-e-Yaar Ki Mo’jiz Bayaaniyan
Har Ek Ko Hai Gumaan Ke Mukhatib Humein Rahe
Iss Ishq Ki Talaafi-e-Ma Baad Dekhna
Rone Ki Hasratein Hain Jab Aansoo Nahin Rahe
کچھ اس ادا سے آج وہ پہلو نشیں رہے
جب تک ہمارے پاس رہے، ہم نہیں رہے
یارب کسی کے رازِ محبت کی خیر ہو
دستِ جنوں رہے نہ رہے، آستیں رہے
دردِ غمِ فراق کے یہ سخت مرحلے
حیراں ہوں میں کہ پھر بھی تم، اتنے حسیں رہے
جا اور کوئی ضبط کی دنیا تلاش کر
اے عشق ! ہم تو اب تیرے قابل نہیں رہے
اللہ رے چشمِ یار کی معجز بیانیاں
ہر اک کو ہے گماں کہ مخاطب ہمیں رہے
اس عشق کی تلافیء ما بعد دیکھنا
رونے کی حسرتیں ہیں جب آنسو نہیں رہے