Urdu Poetry (Misc)

Woh Jazbon Ki Tijarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha – Shayari

Woh Jazbon Ki Tijarat Thi

 

Woh Jazbon Ki Tijarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha
Usay Hansne Ki Aadat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Us Ne Kaha Aao Nai Duniya Basate Hain
Usay Sooji Shararat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Hamesha Us Ki Aankhon Mein Dhanak Se Rang Hote Thay
Ye Us Ki Aam Haalat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Woh Mere Paas Baitha Der Tak Ghazlein Meri Sunta
Usay Khud Se Mohabbat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mere Kandhay Pe Sar Rakh Ke Kahin Pe Kho Gaya Tha Woh
Ye Ek Waqti Inayat Thi, Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

وہ جذبوں کی تجارت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
اسے ہنسنے کی عادت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
مجھے اس نے کہا آؤ نئی دنیا بساتے ہیں
اسے سوجھی شرارت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
ہمیشہ اسکی آنکھوں میں دھنک سے رنگ ہوتے تھے
یہ اسکی عام حالت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
وہ میرے پاس بیٹھا دیر تک غزلیں میری سنتا
اسے خود سے محبت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
میرے کاندھے پہ سر رکھ کے کہیں پہ کھو گیا تھا وہ
یہ اک وقتی عنائیت تھی ، یہ دل کچھ اور سمجھا تھا

قادر صبا حیدر آباد​

Source: Urduweb

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *