
Shaam-e-Gham Ki Sahar Nahi Hoti
ٰIbn-e-Insha Shayari
Shaam-e-Gham Ki Sahar Nahi Hoti
Ya Humein Khabar Nahi Hoti
Hum Ne Sab Dukh Jahan Ke Dekhe Hain
Bekali Is Qadar Nahi Hoti
Nala Yun Na Rasa Nahi Rehta
Aah Yun Be-Asar Nahi Hoti
Chaand Hai, Kahkashan Hai Taare Hain
Koi Shay Namebar Nahi Hoti
Ek Jaan-Sooz O Naamuraad Khalish
Is Taraf Hai Udhar Nahi Hoti
Dosto, Ishq Hai Khata Lekin
Kya Khata Darguzar Nahi Hoti
Raat Aakar Guzar Bhi Jaati Hai
Ek Hamari Sahar Nahi Hoti
Be-Qarari Sahi Nahi Jaati
Zindagi Mukhtasar Nahi Hoti
Ek Din Dekhne Ko Aajate
Ye Hawas Umr Bhar Nahi Hoti
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta
Har Kisi Ki Nazar Nahi Hoti
Dil Pyaala Nahi Gadai Ka
Aashiqui Dar Ba Dar Nahi Hoti
Shaam-e-Gham Ki Sahar Nahi Hoti – ٰShayari in Urdu
شام غم کی سحر نہیں ہوتی
یا ہمیں کو خبر نہیں ہوتی
ہم نے سب دکھ جہاں کے دیکھے ہیں
بیکلی اس قدر نہیں ہوتی
نالہ یوں نارسا نہیں رہتا
آہ یوں بے اثر نہیں ہوتی
چاند ہے کہکشاں ہے تارے ہیں
کوئی شے نامہ بر نہیں ہوتی
ایک جاں سوز و نامراد خلش
اس طرف ہے ادھر نہیں ہوتی
دوستو عشق ہے خطا لیکن
کیا خطا درگزر نہیں ہوتی
رات آ کر گزر بھی جاتی ہے
اک ہماری سحر نہیں ہوتی
بے قراری سہی نہیں جاتی
زندگی مختصر نہیں ہوتی
ایک دن دیکھنے کو آ جاتے
یہ ہوس عمر بھر نہیں ہوتی
حسن سب کو خدا نہیں دیتا
ہر کسی کی نظر نہیں ہوتی
دل پیالہ نہیں گدائی کا
عاشقی در بہ در نہیں ہوتی