Nusrat Fateh Ali Khan

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi [Full Poetry] – NFAK Lyrics

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi

Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics

 

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi
Yeh Mulaqat Phir Nahi Hogi

Aise Badal To Phir Bhi Aayenge
Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi

Raat Un Ko Bhi Yun Hua Mehsoos
Jaise Yeh Raat Phir Nahi Hogi

Ek Nazar Murh Ke Dekhne Wale
Kya Yeh Khairat Phir Nahi Hogi

Shab-e-Gham Ki Sahar Nahi Hoti
Ho Bhi To Mere Ghar Nahi Hoti

Zindagi Tu Hi Mukhtasar Ho Ja
Shab-e-Gham Mukhtasar Nahi Hoti

Raazdaron Se Bach Ke Chalta Hoon
Gham Gsaron Se Bach Ke Chalta Hoon

Mujh Ko Dhoka Diya Saharon Ne
Ab Saharon Se Bach Ke Chalta Hoon

Main Ne Masoom Baharon Mein Tumhein Dekha Hai
Main Ne Purnoor Sitaaron Mein Tumhein Dekha Hai

Mere Mehboob Teri Parda Nasheeni Ki Qasam
Main Ne Ashkon Ki Qataaron Mein Tumhein Dekha Hai

Hum Buton Se Jo Pyaar Karte Hain
Naqal Parwardigaar Karte Hain

Itni Qasmein Na Khao Ghabra Kar
Jaao Hum Aitbaar Karte Hain

Ab Bhi Aa Jaao Kuch Nahi Bigra
Ab Bhi Hum Intazaar Karte Hain

Saaz-e-Hasti Baja Raha Hoon Main
Chashm-e-Masti Mana Raha Hoon Main

Kya Ada Hai Nisaar Hone Ki
Un Se Pehlu Bacha Raha Hoon Main

Kitni Pukhta Hai Meri Nadani
Tujh Ko Tujh Se Chhupa Raha Hoon Main

Dil Dubota Hoon Chashm-e-Saqi Mein
May Ko May Mein Mila Raha Hoon Main

Na Hum Samjhe Na Tum Aaye Kahin Se
Pasina Pochhiye Apni Jabeen Se

Poet: Unknown

 

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi Lyrics in Urdu

آج کی بات پھر نہیں ہوگی
یہ ملاقات پھر نہیں ہوگی

ایسے بادل تو پھر بھی آئیں گے
ایسی برسات پھر نہیں ہوگی

رات ان کو بھی یوں ہوا محسوس
جیسے یہ رات پھر نہیں ہوگی

اک نظر مڑ کے دیکھنے والے
کیا یہ خیرات پھر نہیں ہوگی

شب غم کی سحر نہیں ہوتی
ہو بھی تو میرے گھر نہیں ہوتی

زندگی تو ہی مختصر ہو جا
شب غم مختصر نہیں ہوتی

راز داروں سے بچ کے چلتا ہوں
غم گساروں سے بچ کے چلتا ہوں

مجھ کو دھوکہ دیا سہاروں نے
اب سہاروں سے بچ کے چلتا ہوں

میں نے معصوم بہاروں میں تمہیں دیکھا ہے
میں نے پر نور ستاروں میں تمہیں دیکھا ہے

میرے محبوب تیری پردہ نشینی کی قسم
میں نے اشکوں کی قطاروں میں تمہیں دیکھا ہے

ہم بتوں سے جو پیار کرتے ہیں
نقل پروردگار کرتے ہیں

اتنی قسمیں نہ کھاؤ گھبرا کر
جاؤ ہم اعتبار کرتے ہیں

اب بھی آ جاؤ کچھ نہیں بگڑا
اب بھی ہم انتظار کرتے ہیں

ساز ہستی بجا رہا ہوں میں
چشم مستی منا رہا ہوں میں

کیا ادا ہے نثار ہونے کی
ان سے پہلو بچا رہا ہوں میں

کتنی پختہ ہے میری نادانی
تجھ کو تجھ سے چھپا رہا ہوں میں

دل ڈبوتا ہوں چشم ساقی میں
مے کو مے میں ملا رہا ہوں میں

نہ ہم سمجھے نہ تم آئے کہیں سے
پسینہ پوچھیے اپنی جبیں سے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *