
Ek Dil Walon Ki Basti Thi
Poet: Mubashar
Ek Dil Walon Ki Basti Thi
Jahan Chaand Aur Sooraj Rehte The
Kuch Sooraj Man Ka Paagal Tha
Aur Chaand Bhi Shokh O Chanchal Tha
Woh Basti Basti Phirte The
Aur Har Pal Hanste Rehte The
Phir Ek Din Dono Rooth Gaye
Aur Saare Sapne Toot Gaye
Ab Chaand Bhi Us Waqt Aata Hai
Woh Sooraj Jab So Jaata Hai
Baadal Bhi Sab Se Kehte Hain
Sooraj Uljha Sa Rehta Hai
Haan Chaand Ke Saath Sitare Hain
Par Sooraj Phir Bhi Tanha Hai
اک دل والوں کی بستی تھی
جہاں چاند اور سورج رہتے تھے
کچھ سورج من کا پاگل تھا
اور چاند بھی شوخ و چنچل تھا
وہ بستی بستی پھرتے تھے
اورہر پل ہنستے رہتے تھے
پھر اک دن دونوں روٹھ گئے
اور سارے سپنے ٹوٹ گئے
اب چاند بھی اس وقت آتا ہے
وہ سورج جب سو جاتا ہے
بادل بھی سب سے کہتے ہیں
سورج الجھا سا رہتا ہے
ہاں چاند کے ساتھ ستارے ہیں
پر سورج پھر بھی تنہا ہے