December PoetryNew Year Poetry

December Ka Aakhri Din Hai – New Year Poetry

December Ka Aakhri Din Hai
New Year Poetry

December Ka Aakhri Din Hai,
Abhi Chand Ghadiyaan Baqi Hain,
Calendar Par Tareekh Tabdeel Hone Mein —
Chalo Murh Ke Dekhein Hum,
Kahin Kuch Kho Diya Hum Ne,
Kahin Kuch Pa Liya Hum Ne.

Kahin Dil Ne Baghawat Ki,
Kahin Hum Ne Wazahat Di.
Yeh Saara Khel Hai Waqt Ka,
Yeh Jo Paana O Khona Hai —
Yeh Sab Barabar Hai.

Hisaab-e-Zindagi Dekhein To Aakhir Mein,
Khisara Hi Khisara Hai.
Ke Waqt Ke Haath Mein Hi Sab Lagaamein Hain,
Hum Faqat Dekhte Suntay To Hain,
Lekin —
Hamaare Ikhtiyaar Mein Koi Faisla Nahi Hota.

Magar,
Ek Umeed Par Koshish Ka Daaman Thaam Lete Hain,
Ke —
Rabb-e-Kaayinaat Hum Girton Ko Yun Girne Nahi Deta.

Saal-e-Nau Ko Naveed Do,
Ke Abhi Hum Mein Umeedon Ke Chiraagh Jalte Hain,
Abhi Hum Zinda Hain —
Aur,
Zindagi Ke Saath Chalte Hain…

دسمبر کا آخری دن ہے
ابھی چند گھڑیاں باقی ہیں
کیلنڈرپر تاریخ تبدیل ہونے میں
چلو مڑ کےدیکھیں ہم
کہیں کچھ کھو دیا ہم نے
کہیں کچھ پالیا ہم نے
‏کہیں دل نےبغاوت کی
کہیں ہم نے وضاحت دی
یہ ساراکھیل ہے وقت کا
یہ جو پانا و کھونا ہے
یہ سب برابر ہے
حسابِ زندگی دیکھیں تو آخر میں
خسارہ ہی خسارہ ہے
‏کہ وقت کےہاتھ میں ہی سب لگامیں ہیں
ہم فقط دیکھتے سنتے تو ہیں
لیکن
ہمارےاختیارمیں کوئی فیصلہ نہیں ہوتا
مگر
اک امید پر کوشش کا دامن تھام لیتے ہیں
‏کہ
ربِ کائنات ہم گرتوں کو یوں گرنے نہیں دیتا
سالِ نو کو نوید دو
کہ ابھی ہم میں
امیدوں کے چراغ جلتے ہیں
ابھی ہم زندہ ہیں
اور
زندگی کے ساتھ چلتے ہیں……

 

Saal Ki Aakhri Malganji Zard Si Shaam Dhalti Hui
Jaatay Saal Ki Aakhri Shab Hai 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *