
Bichhar Jaayein Ge Hum Lekin
Bichhar Jaayein Ge Hum Lekin
Humaari Yaad Ke Jugnu, Tumhaari Shab Ke Daaman Mein
Sitare Ban Ke Chamakain Ge
Tumhein Bechain Rakhein Ge
Bohat Masroof Rehne Ke, Bahane Tum Banao Ge
Bohat Koshish Karoge Tum
Ke Ab Mausam Jo Badlein To, Humaari Yaad Na Aaye
Magar Aisa Nahin Hoga
Kahin Jo Sard Mausam Mein
December Ki Hawaon Mein
Tumhaare Dil Ke Goshon Mein
Jami Hain Barf Ki Tarah
Woh Yaadein Kaise Pighlain Gi
Kabhi Garmi Ki Tapti Surkh Ghadiyon Mein
Mere Maazi Ko Socho Ge
To Aankhen Bheeg Jaayengi
Ghadi Peechhe Ko Daude Gi
Kai Saalon Ki Gumgashta, Humaari Yaad Aaye Gi
Bichhar Jao!! Magar Sun Lo
Humaare Darmiyan, Aisi Koi To Baat Bhi Hogi
Jise Tum Yaad Rakho Ge
Mujhe Tum Yaad Rakho Ge
Bichhar Jaayein Ge Hum Lekin – Poetry in Urdu
ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ ﮨﻢ ﻟﯿﮑﻦ
ﮨﻤﺎﺭﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺟُﮕﻨﻮ، ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺷﺐ ﮐﮯ ﺩﺍﻣﻦ ﻣﯿﮟ
ﺳِﺘﺎﺭﮦ ﺑﻦ ﮐﮯ ﭼﻤﮑﯿﮟ ﮔﮯ
ﺗُﻤﮩﯿﮟ ﺑﮯ ﭼﯿﻦ ﺭﮐﮭﯿﮟ ﮔﮯ
ﺑﮩﺖ ﻣﺼﺮﻭﻑ ﺭﮨﻨﮯ ﮐﮯ، ﺑﮩﺎﻧﮯ ﺗﻢ ﺑﻨﺎﺅ ﮔﮯ
ﺑﮩﺖ ﮐﻮﺷﺶ ﮐﺮﻭ ﮔﮯ ﺗُﻢ
ﮐﮧ ﺍﺏ ﻣﻮﺳﻢ ﺟﻮ ﺑﺪﻟﯿﮟ ﺗﻮ، ﮨﻤﺎﺭﯼ ﯾﺎﺩ ﻧﮧ ﺁﮰ
ﻣﮕﺮ
ﺍﯾﺴﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﮔﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﺟﻮ ﺳﺮﺩ ﻣﻮﺳﻢ ﻣﯿﮟ
ﺩِﺳﻤﺒﺮ ﮐﯽ ﮨﻮﺍﺅﮞ ﻣﯿﮟ
ﺗُﻤﮭﺎﺭﮮ ﺩﻝ ﮐﮯ ﮔﻮﺷﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺟﻤﯽ ﮨﯿﮟ ﺑﺮﻑ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ
ﻭﮦ ﯾﺎﺩﯾﮟ ﮐﯿﺴﮯ ﭘﮕﮭﻠﯿﮟ ﮔﯽ
ﮐﺒﮭﯽ ﮔﺮﻣﯽ ﮐﯽ ﺗﭙﺘﯽ ﺳُﺮﺥ ﮔﮭﮍﯾﻮﮞ ﻣﯿﮟ،
ﻣﯿﺮﮮ ﻣﺎﺿﯽ ﮐﻮ ﺳﻮﭼﻮ ﮔﮯ
ﺗﻮ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺑﮭﯿﮓ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﯽ
ﮔﮭﮍﯼ ﭘﯿﭽﮭﮯ ﮐﻮ ﺩﻭﮌﮮ ﮔﯽ
ﮐﺌﯽ ﺳﺎﻟﻮﮞ ﮐﯽ ﮔُﻢ ﮔﺸﺘﮧ، ﮨﻤﺎﺭﯼ ﯾﺎﺩ ﺁﮰ ﮔﯽ
ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﺅ !! ﻣﮕﺮ ﺳُﻦ ﻟﻮ
ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﺭﻣﯿﺎﻥ، ﺍﯾﺴﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺑﺎﺕ ﺑﮭﯽ ﮨﻮﮔﯽ
ﺟِﺴﮯ ﺗُﻢ ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮭﻮ ﮔﮯ
ﻣُﺠﮭﮯ ﺗُﻢ ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮭﻮ ﮔﮯ