
Log Kehte Hain Ke Is Khail Mein Sar Jate Hain
Poet: Shakeel Jamali
Log Kehte Hain Ke Is Khail Mein Sar Jate Hain
Ishq Mein Itna Khasara Hai To Ghar Jate Hain
Maut Ko Hum Ne Kabhi Kuch Nahin Samjha Magar Aaj
Apne Bachon Ki Taraf Dekh Ke Dar Jate Hain
Zindagi Aise Bhi Halaat Bana Deti Hai
Log Saanson Ka Kafan Odh Ke Mar Jate Hain
Paon Mein Ab Koi Zanjeer Nahin Daalte Hum
Dil Jidhar Theek Samajhta Hai Udhar Jate Hain
Kya Junoon Khaiz Masaafat Thi Tere Kooche Ki
Aur Ab Yun Hai Ke Khamosh Guzar Jate Hain
Yeh Mohabbat Ki Alamat To Nahin Hai Koi
Tera Chehra Nazar Aata Hai Jidhar Jate Hain
لوگ کہتے ہیں کہ اس کھیل میں سر جاتے ہیں
عشق میں اتنا خسارہ ہے تو گھر جاتے ہیں
موت کو ہم نے کبھی کچھ نہیں سمجھا مگر آج
اپنے بچوں کی طرف دیکھ کے ڈر جاتے ہیں
زندگی ایسے بھی حالات بنا دیتی ہے
لوگ سانسوں کا کفن اوڑھ کے مر جاتے ہیں
پاؤں میں اب کوئی زنجیر نہیں ڈالتے ہم
دل جدھر ٹھیک سمجھتا ہے ادھر جاتے ہیں
کیا جنوں خیز مسافت تھی ترے کوچے کی
اور اب یوں ہے کہ خاموش گزر جاتے ہیں
یہ محبت کی علامت تو نہیں ہے کوئی
تیرا چہرہ نظر آتا ہے جدھر جاتے ہیں
- Kya Zaroori Hai Mohabbat Mein Tamasha Hona – Abbas Tabish
- Hum Ke Thehre Ajnabi Itni Madaraaton Ke Baad – Faiz
- Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi – Urdu Poetry