
Sisakti Rut Ko Mahakta Gulab Kar Dunga
Rahat Indori Poetry
Sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga,
Main is bahaar mein sab ka hisaab kar dunga.
Hazaar pardon mein khud ko chhupa ke baith magar,
Tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar dunga.
Mujhe yaqeen hai ki mehfil ki raushni hun main,
Unhein ye khauf ki mehfil kharaab kar dunga.
Mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna,
Main sare shehar ka pani sharaab kar dunga.
Main intezaar mein hun tu koi sawal to kar,
Yaqeen rakh main tujhe lajawaab kar dunga.
Mahajanon se kaho thoda intezaar karen,
Sharaab-khane se aa kar hisaab kar dunga
سسکتی رت کو مہکتا گلاب کر دوں گا
سسکتی رت کو مہکتا گلاب کر دوں گا
میں اس بہار میں سب کا حساب کر دوں گا
میں انتظار میں ہوں تو کوئی سوال تو کر
یقین رکھ میں تجھے لا جواب کر دوں گا
ہزار پردوں میں خود کو چھپا کے بیٹھ مگر
تجھے کبھی نہ کبھی بے نقاب کر دوں گا
مجھے بھروسہ ہے اپنے لہو کے قطروں پر
میں نیزے نیزے کو شاخ گلاب کر دوں گا
مجھے یقین کہ محفل کی روشنی ہوں میں
اسے یہ خوف کہ محفل خراب کر دوں گا
مجھے گلاس کے اندر ہی قید رکھ ورنہ
میں سارے شہر کا پانی شراب کر دوں گا
مہاجنوں سے کہو تھوڑا انتظار کریں
شراب خانے سے آ کر حساب کر دوں گا
Read More:
Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Chingari Rakho – Rahat Indori
Kahin Chand Rahon Mein Kho Gaya – Bashir Badr Poetry
Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahin Hai – Mirza Ghalib Poetry